Page 2 of 9
Posted: Tue May 24, 2005 4:55 am
by Hashmat Usmani
tamannaaoN meN ulajhaayaa gayaa huuN
khilaune de ke bahlaayaa gayaa huuN
Shaad Azeemaabaadii
"te"
Posted: Tue May 24, 2005 11:17 am
by Abdullah Nazir
tujhe apnaa kehkar bhii sharmindah hooN
rahaa kyaa bharam ikhtiyaaraat kaa.
Nasir.
[/b][/size][/color]
Posted: Tue May 24, 2005 1:00 pm
by najma
tuu, keh faraz-e-takh,t par sadr-nasheen-e-bazm tha
aaj kahaaN wo kho gaya tera kulaah-e-qaisarii
khawar
"te"
Posted: Tue May 24, 2005 3:31 pm
by Abdullah Nazir
Talkhiy-e-waHshat-e-di hei rag o pay meiN ssari
ab sanbhaltaa hii nahiN deeda-e-tar kyaa keeje.
Nazir.
Posted: Tue May 24, 2005 7:35 pm
by najma
tumharii sard-mohrii ik na ik din rang laaeygii
na poocho hasrat-o-armaaN ka khooN hoga, to kya hoga
khawar
"te"
Posted: Thu May 26, 2005 3:41 am
by Abdullah Nazir
tiri chashm-e-makhmoor ne maar Daalaa
kise piyaar karne kii Hastrat nah hougi.
Nazir.
Posted: Thu May 26, 2005 4:39 am
by Hashmat Usmani
tamannaa hai terii agar hai tamannaa
terii aarazuu hai, agar aarazuu hai
Khowaajah Meer "Dard"
Posted: Thu May 26, 2005 9:07 am
by najma
taqdeer ajab raaz bataa jaatii hay
aql aadamii kii rotii hay chillaati hay
khawar
Posted: Thu May 26, 2005 11:49 am
by najma
tant ke waqt meiN apnoN se na munh pher, keh tuu
daulat islaam ki hay, kufr ka iqbaal naheeN
zafar ali
Posted: Thu May 26, 2005 12:38 pm
by najma
tundi-e-baad-e-mukhalif se na ghabraa aey dost
ye to urti hay tujhe ooncha uraane ke liye
Posted: Thu May 26, 2005 12:46 pm
by Hashmat Usmani
tasviir banaataa huuN, tasviir nahiiN bantii
ik khowaab saa dekhaa hai, ta'biir nahiiN bantii
Khumaar baaraBankawii
Posted: Thu May 26, 2005 1:54 pm
by najma
teer jab baiTha, mire dil meiN taraazoo hogaya
is se ye zaahir hua, qaatil bohat sanjeedah hay
Posted: Thu May 26, 2005 7:58 pm
by zmufti
tujhe woh shaakh se toorieN zah-e-naseeb tere
taraptay reh gaye gulzaar meiN raqeeb tere
Posted: Thu May 26, 2005 8:57 pm
by najma
zafar ali sahib ka ye she,r mujhe bohat pasand aayaa
tehzeeb-e-nau ke munh pe wo thappaR raseed kar
jo is haraam-zaadi ka hulyaa bigaaR de
zafar ali
"te"
Posted: Fri May 27, 2005 12:22 pm
by Abdullah Nazir
Teer nazraoN ke nah phainkaa karu meri jaanib
cheR achchi nahiN veHshat zadah deewaane se
Nazir.