Page 2 of 17

Posted: Wed Jun 01, 2005 12:55 am
by Anmol
Rok log gar Ghalat chale koi
BaKsh do gar Khata kare koi

(Ghalib)

Posted: Wed Jun 01, 2005 12:56 am
by najma
hazaroN saal nargis apnii be-noorii pe rotii hay
baRee mushkil se hota hay chaman meiN deedah-war paida

Posted: Wed Jun 01, 2005 12:56 am
by Hashmat Usmani
zindagii kia hai? chand anaasir ka zahoor-e-tarteeb!
maut kia hai! unhiiN ajzaa kaa bikhar jaanaa


naa_ma'loom [shaayad: Dr. MoHammad Iqbaal]

Posted: Wed Jun 01, 2005 12:59 am
by najma
tajrubah ek baar hota hay
tajrubah baar baar mat karna
najma

Posted: Sun Jun 05, 2005 4:40 am
by Hashmat Usmani
zindagii kii reh meN chal, lekin zaraa bach_bach ke chal
yeh samajh le koii meenaa Khaana_baar-e-dosh hai


'allaamah Iqbaal

Posted: Sun Jun 05, 2005 10:54 am
by najma
arzaaN hay bohat najma! tamaddun ki kahaanii
aiy dost! haqeeqat hay ye, ilzaam naheeN hay
najma

Posted: Wed Jun 08, 2005 8:57 am
by najma
najma! tujhe tambeeh faqat itni hay merii
sir ko na jhukanaa tuu,khabardaar! tah-e-teiGh
najma

Posted: Wed Jun 08, 2005 10:48 pm
by shahnaz zafar
jo bithoge tum aag ke paas jaaker
uthoge tum apney kaprey jalaker
ye maana ke kaprey bachatey rahoge
magar aanch phir bhee to khatey rahoge

Posted: Wed Jun 08, 2005 10:50 pm
by najma
ik haqeeqat hay lamha-e-maujood
kal pe tum etibaar mat karna
najma

Posted: Wed Jun 08, 2005 10:53 pm
by shahnaz zafar
chaman ke fikr jo rakhtey hai aashiyaan se siwa
guloon ke fasl mai un ka wiqar kee kaya hai

Posted: Wed Jun 08, 2005 10:55 pm
by najma
jahaaN, keh murdoN k din hi manaey jate haiN
wahaaN pe zeest ke maaroN ki kaun sunta hay
najma

Posted: Thu Jun 09, 2005 2:54 pm
by Taskeen

Bheegi huyee aankhon ka yeh manzar na milega
Ghar chhor ke mat jaao kaheen ghar na milega

Posted: Thu Jun 09, 2005 6:30 pm
by najma
khawar qureshi ki ek rubaa,ee


armaan ki duya se nikalna seekho
aafaat ke angaaroN pe chalna seekho
jhelo, ba-raza lutma-e-aalaam-o-balaa
har gaam pe gir gir ke sambhalna seekho

Posted: Sat Jun 11, 2005 1:42 am
by najma
Soch banti hai to parhti hai amal ki bunyad
Aaj ki fikr o nazar hai mere Kal ki bunyad

Posted: Sun Jun 12, 2005 3:19 am
by shahnaz zafar
khabar nahee ke hawa kis taraf urah le jai
hamari nasal bikharta hua burada hai