Page 2 of 8

Posted: Sun Jun 05, 2005 2:28 am
by najma
zaahida! ham jaante haiN, ishq bazii hay gunaah
ghar luTaya hay ji weh,shat meiN, wo kaffarah hua
naasikh

Posted: Sun Jun 05, 2005 2:32 am
by Hashmat Usmani
kia kahuuN tum se maiN k kia hai 'ishq
jaaN kaa rog hai, balaa hai 'ishq


Meer Taqii "Meer"

Posted: Sun Jun 05, 2005 2:36 am
by najma
ruke ashk, aur aah ponhchi falak par
mira ishq kam kharch, balaa-nasheeN hay

Posted: Sun Jun 05, 2005 2:40 am
by Hashmat Usmani
'ishq hii 'ishq hai jahaaN, dekho!
saare 'aalam meN bhar rahaa hai 'ishq


Meer Taqii "Meer"

Posted: Sun Jun 05, 2005 2:46 am
by najma
Ghairat-e-ishq bhi ajab shaiy hay
haath uThte naheeN dua ke liye
najma

Posted: Sun Jun 05, 2005 3:46 am
by najma
mareez-e-ishq par la,nat khuda ki
marz baRhta gaya, juN juN dawa ki

Posted: Sun Jun 05, 2005 3:47 am
by Hashmat Usmani
ai 'ishq! na chheR aa aa ke hameN
ham bhuule huoN ko yaad na kar
pahle hii bahot naashad haiN ham
tuu aur hameN naashaad na kar
qismat kaa sitam hii kam nahiiN kuchh
yeh taaza sitam iijaad na kar
yuuN zulm na kar, be_daad! na kar
ai 'ishq! hameN barbaad na kar


AKhtar Shiiraanii

Posted: Sun Jun 05, 2005 5:50 am
by Hashmat Usmani
mere jaise ban jaaoge, jab 'ishq tumheN ho jaayegaa
diivaaroN se sar Takraaoge, jab 'ishq tumheN ho jaayegaa



Sa'eed Raahii

Posted: Sun Jun 05, 2005 10:46 am
by khurram_shaikh
Assalaam o alekum,


ishq kii maar ba.Dii dardiilii ishq me.n jii na pha.Nsaanaa jii
sab kuchh karanaa ishq na karanaa ishq se jaan bachaanaa jii

Posted: Sun Jun 05, 2005 10:46 am
by syed bilal armaan
ishq se tabiyat ne zeest ka maza paya
derd ki dawa pai, derd-e- be.dawa paya

GHALIB

Posted: Sun Jun 05, 2005 3:06 pm
by khurram_shaikh
Assalaam o alekum,


ishq ko be-naqaab honaa thaa
aap apanaa javaab honaa thaa

terii aa.Nkho.n kaa kuchh qusuur nahii.n
haa.N mujhii ko Kharaab honaa thaa

Posted: Mon Jun 06, 2005 6:59 am
by syed bilal armaan
ishq mein jee ko sabr-o-taab kahaan
us se aankhe.n lagin to Khwaab kahaan

ishq

Posted: Tue Jun 07, 2005 9:47 am
by Abdullah Nazir



aathish-e-ishq meiN jalne ke liye chouRdiyaa

aur kehte hou ke aisaa miri taqdeer meiN thaa.
! ! !


Nazir.


Posted: Tue Jun 07, 2005 6:29 pm
by najma
zaahida! ham jaante haiN, ishq bazii hay gunaah
ghar luTaya hay ji weh,shat meiN, wo kaffarah hua
naasikh

Posted: Wed Jun 08, 2005 8:50 am
by najma
ham jaante to ishq na karte kasoo ke saath
ly jaate dil ko khaak meiN is aarzoo ke saath
meer