Page 2 of 2

Posted: Sun Jun 19, 2005 11:49 am
by najma
sara_j wrote:Kisi soorat namood-e-sauz-pinhaani nahiN jatee
bujha jata hay dil, chehray ki tabaani nahiN jatee

NahiN jati khaN tak fikr-e-insaani nahiN jatee
magar apni haqeeqat aap pehchani nahiN jatee

Mizaj-e-ahl-e-dil baikaif-o-masti reh nahiN sakta
kay jaisay nighat-e-gul say paraishani nahiN jatee

Sadaqat ho to dil seenoN say khichnay lagtay haiN waaiz
haqeeqat khud ko manwa laitiee hay maani nahiN jatee

Vo yooN dil say gujartay haiN kay aahat tak nahiN aatee
vo yooN aawaz daitay haiN kay pehchanee nahiN jatee

NahiN ma'loom kis aalam maiN husn-e-yaar dekha
kaoi aalam ho laikin dil ki hairani nahiN jatee

Mohabbat maiN ik aisa vaqt bhi dil par gujarta hay
kay aansoo khush ho jaatay haiN, tugyani nahiN jaatee

Jigar vo bhi to sartapa mohabbat hi mohabbat haiN
magar unki mohabbat saf pehchani nahiN jatee

waaah sara sahiba!
jigar muradabaadii ka itna haessn kalam share kiya hay aap ne.maza aagaya.
khush rahiyye

:-)

Posted: Sun Jun 19, 2005 11:51 am
by najma
sara_j wrote:Kaam aakhir jazba-e-bayikhtiar aa hi gaya
dil kuch is surat say tadpa, unko pyar aa hi gaya

Jab nigahaiN uth gayeeN, Allah ray mairaj-e-shauq
dekhta kia hoon wo jaan-e-intizar aa hi gaya

haiy ye husn-e-tasawwar ka fareeb-o-rang-o-boo
maiN ye samjha jaisay wo jaan-e-bahar aa hi gaya

Is tarah khush hooN kisi kay waada-e-farda pay maiN
dar haqeeqat jesay mujh ko aitibaar aa hi gaya

Haa'y kafir dil ki ye kafir junoon angaiziaan
tumko pyar aay na aay, mujh ko pyar aa hi gaya

Jaan hi daydee jigar nay aaj pa'ay yaar par
Umr bhar ki baiqarari ko qarar aa hi gaya
bohat bohat shukriya sara!

waaah -----

jigar muradabaadii ka ye haessn kalam share kiya hay aap ne.lutf aagaya paRh ke :grin:

khush rahiyye

:-)

Posted: Sun Jun 19, 2005 11:53 am
by najma
Mahtab Qadr wrote:bahut khoob , Jigar sahib ki shayeri waqai apne rang ki munfarid shayeri hai.
bay faida alam nahi , bekaar gham nahi
taufeeq de khuda to ye naimat bhi kam naih

waah

mahtaab bhaee waaah

bohat achaa

:-)

Posted: Fri Jul 01, 2005 4:22 am
by Hashmat Usmani
aaj June kii 30 taareeKh hai, maheene ka aaKhirii din so is laRii meN maiN yeh aaKhiri Ghazal Jigar kii lagaa rahaa huuN. abhii kal tak yeh laRii khuli rahegii so aap log agar kuchh aur post karna chaaheN to ba_sad shauq chaspaaN kjiiye. shukria.
Image

Posted: Fri Jul 01, 2005 4:27 am
by Hashmat Usmani
ek aur miltii jultii Ghazal mulaaHizah farmaaiye
Image

Posted: Fri Jul 01, 2005 4:28 am
by Hashmat Usmani
to, chalte chalaate ek aur Ghazal ho jaaye to kia buraa hai...
Image

Posted: Fri Jul 01, 2005 4:31 am
by Hashmat Usmani
ufff...Jigar kii shaairii paRh kar rahaa nahiiN jaa rahaa aur ab sachi muchi yeh aaKhiri Ghazal maiN post kar rahaa huN :wink:
Image

Posted: Fri Jul 01, 2005 4:37 am
by Hashmat Usmani
OMG...yeh Gahzal to maiN ne kabhii Jigar kii paRhii hii nahiiN thii...haN albatta gaanaa zaroor sunaa thaa....

shoKh nazar kii bijliyaaN dil pe mire hiraaye jaa [MajrooH Sultaanpurii]

aak pata chala ki original Ghazal Jigar kii hii thii...MajrooH Jigar kii shaai'rii se bahot mar'oob aur mutaa'ssir the lihaaza unkii shaairii meN Jigar ka rang Khoob miltaa hai. ab aap bhii paRh lijiye and qasam se ab aur zehmat nahiN duNga.
:wink:
Image