jawaid badauni wrote:
Ghazal
[colore=darkblue]MaiN zameeN tum ho aasmaaN yaaro
“Tum kahaN aur maiN kahaN yaaro”[/colore][/b]
bohaaaaaaat khoobsurat giraah lagaae hai Wallah Mashallah
Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro
Kaise hum kholte zubaaN yaaro
waaaaaah zabardast!!!!
Doob jaayeN kahaN kise mAloom
KashtiyaN phir haiN kashtiyaN yaaro
:rose achaa hai
TooT jaate haiN pyaar ke rishte
Jab anaa aaye darmiyaN yaaro
:rose :rose
Aaj jinke liye maiN kuch bhi nahiN
Woh abhi tak haiN meri jaaN yaaro
=D> =D> =D>
Khaar aayeN keh phool daman meN
Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro
areal nice one indeed
Kitne naawaaqif-e rah-e manzil
Ban gaye meer-e kaarvaaN yaaro
kayaa Haqeeqat bayaan fermaaee hai janaab merHabaa!!!
Jab bhi “Jawaid” per paRa hai waqt
Jaane tum kho gaye kahaN yaaro
:rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose
aik murassah gahazal inaayat fermaane per dilee shukeriyah.
wassalam
-----------------------------------------
Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Re: Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)
live and let live
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact: