Page 2 of 44
Posted: Fri Jun 17, 2005 7:56 am
by najma
payaam-bar na muyassar hua to khoob hua
zabaan-e-Ghair se kya shrh-e-aarzoo karte
najma
Posted: Fri Jun 17, 2005 3:03 pm
by najma
pas-e-marg mere mazaar par ji diyaa kisi ne jala diya
ise aah! daman-e-baad ne sar-e-shaam hii se bujha diya
zafar
Posted: Fri Jun 17, 2005 9:10 pm
by najma
naheeN rah-bar ki kuch parwah hameiN, sadqay tasawwur ke
keh aaNkheN band karleeN aur tire kuuchay meiN ja-nikle
Posted: Sat Jun 18, 2005 5:48 pm
by Waqar Zaidi
umr kuchh shiddat e ahsaas ki barhh jaaye gi
aaiye aap mairay deeda e tar main rahiye
shaair : Baikal utsaahi (India)
Posted: Sat Jun 18, 2005 5:51 pm
by Waqar Zaidi
ajeeb hotay hain aadaab e rukhsat e mehfil
keh uth kay woh bhi chalaa jis ka ghar na tha koii
shaair : Sahar Ansari.
Posted: Sat Jun 18, 2005 5:55 pm
by Waqar Zaidi
yeh shab rang zulfon kay bad mast baadal
mairay dil pe aay kaash khul kar barastay
shaair : Habaab Tirmazi.
Posted: Sat Jun 18, 2005 5:59 pm
by Waqar Zaidi
mairay naakhun e wafaa pe koii qarz reh na jaaye
tairay dil main jo girah hay usay neem baaz rakhna
shaair : Shaz Tamkanat.
Posted: Sat Jun 18, 2005 6:02 pm
by Waqar Zaidi
aay baad e saba naama o paighaam kay badlay
ek bosa miraa un lab o rukhsaar ko ponhchaa
shaair : Sehba Akhtar
Posted: Sat Jun 18, 2005 6:07 pm
by Waqar Zaidi
baAd masaaib kay milaa karti hay raahat aksar
talab e gul hay to phir tehni e pur khaar na daikh
shaair : Waqar Zaidi.
Posted: Sat Jun 18, 2005 6:10 pm
by Waqar Zaidi
tum saath thay to ham bhi thay manzil say aashnaa
ab tum nahin to lagtay hain rastay ajeeb say
naa maAloom
Posted: Sat Jun 18, 2005 6:13 pm
by Waqar Zaidi
too agar buraa na maanay to jahaan e rang o boo mayn
main sakoon e dil ki khaatir koii dhoondh loon sahaaraa
naa maAloom
Posted: Sat Jun 18, 2005 10:11 pm
by najma
waaah bohat khoob wqar zaidi bhaee
waah
naheeN tuu, tozinagaani shab-e-taar hay keh jis meiN
na fazaa meiN koee jugnuu, na falk pe koee taaraa
najma
Posted: Sun Jun 19, 2005 11:58 am
by najma
tajdeed ke shu,oor se, aiy rah-baran-e-asr!
sheerazah-e-hayaat pareshaaN na kijiye
nafis ahmad siddiqui
Posted: Sun Jun 19, 2005 1:28 pm
by Waqar Zaidi
waar kar saktaa to hoon main apnay dushman par magar
sochtaa hoon darmiyaan phir farq kia reh jaaye ga
shaair : Arif Shafeeq.
Posted: Sun Jun 19, 2005 1:32 pm
by Waqar Zaidi
ab hawaayain hi karain gi raushni kaa faislah
jis diye main jaan ho gi woh diyaa reh jaaye ga
Shaair : Mehshar Badaayuni.