Page 2 of 29

???

Posted: Fri Jun 17, 2005 10:49 pm
by Abdullah Nazir



MaiN kyaa karuN ke meri nazar maand paRgaiee

baithaa houaa hooN kab se tire intizaar meiN.



Nazir.


Posted: Fri Jun 17, 2005 10:52 pm
by najma
kaun khush-qismat hay jo ponhcha ba-kahir-o aafiyyat
pat,tharoN ke sher meiN aaina-e-kirdaar tak?

???

Posted: Fri Jun 17, 2005 11:10 pm
by Abdullah Nazir



kyaa khabar us ko patah bhii hei mire zakhmaoN kaa

kaun samjhegaa sukhan deeda-e-giryaaN mere,




Nazir.


Posted: Fri Jun 17, 2005 11:14 pm
by najma
kaun un be-wafa nigahoN ko
dharkanoN ki zabaan samjhaey?
saGhar

???

Posted: Fri Jun 17, 2005 11:22 pm
by Abdullah Nazir



mil jul ke raat kaaTnaa aur din guzaarnaa

kyaa khoob thaa wo daur? magar kis ko yaad hei.



Nazir.


Posted: Fri Jun 17, 2005 11:30 pm
by najma
hadicay kya kya tumharii be-rukhii se hogaey
sari dunya ke liye ham ajanabii se ho gaey
saGhar

???

Posted: Fri Jun 17, 2005 11:49 pm
by Abdullah Nazir



dasht-e-gurbat meiN akailaa mujhe kiyuN chouRdiyaa

kis liye door hei meraa sar o saamaaN houkar.



Nazir.


Posted: Fri Jun 17, 2005 11:52 pm
by najma
BAKHSH!kaun paRhta hay terii sach,chii tehreereN
jo qalam ne lik,kha hay, kaGhazoN ne dekha hay
bakhsh

???

Posted: Sat Jun 18, 2005 12:00 am
by Abdullah Nazir



ShoAla-e-aatish-e-qurbat kii zaroorat kyaa thii

piyaar jab tum ko jataanaa thaa gurezaaN houkar.



Nazir.


Posted: Sat Jun 18, 2005 12:08 am
by najma
ham ba-wafa thay, is liye nazroN se gir gaey
shayad tumheN talaashkisi be-wafa ki ho?

Posted: Sat Jun 18, 2005 12:23 am
by najma
wa,da na wafa karna, aur us pe ye taakeedeN
ta-hashr Theher jao, kyuuN jaan nikaltii hay?
daGh

Posted: Sun Jun 19, 2005 11:47 am
by najma
aatii hai kis taraH se merii qabz-e-ruuh ko
dekhuuN to maut DhuuNDh rahii hai bahaana kya?

Posted: Sun Jun 19, 2005 12:10 pm
by najma
haaN, batao to sahii! rooh-e-wafa! jaan-e-:nafees:
kab mujhe hans hans k deewana bananay aaogii?
nafis ahmad siddiqui

Posted: Sun Jun 19, 2005 5:28 pm
by najma
hooN saltanat janaab! sarapaa maiN aapkii
''dil kis shumaar meiN hay, jigar kis shumaar meiN?''
najma

Posted: Thu Jun 23, 2005 11:54 am
by najma
dard-o-Gham, ranj-o-alam, aah-o-fuGhaaN thay mere saath

aap phir kaise mujhe tanhaa bhalaa kehte rahay?

najma