Re: Aapkaa istidlaah maAqool hei
Posted: Wed Jul 06, 2005 4:40 pm
Mohtaram Nazir saahab,WEBMASTER wrote:
MuHtaramah
NaHeed V. Saahibah,
Purkhuloos Tasleemaat,
Janab Bashir Badr ke miSreA se aapkaa istidlaal bilkul bajaa hei jis meiN lafz "dunya" jo 2 sabab-e-khafeef per mustamil hei, ke Harf "alif" ko giraayaa gayaa hei yani 21 ke vazn per isteAmaal kiyaa gayaa hei.
Is se pahle maiN ne MushaaAire kii forum meiN janab Jawaid Badayauni kii TaraHi ghazal per tabSirah karte houe likhkha hei:
(((
Woh yahaN aaye nah aaye gham nahiN
Ghair ke ghar aana jaana choRde
Waah waah, kyaa kehne. Seedah saadha sheAr bahut hii achche andaaz meiN pesh kiyaa hei aap ne
Lafz "aanaa" ke Harf "alif" ko giraane ke baare meiN Shamsurrahmaan Farooqi kehte heiN ke jaayiz nahiN. Is ke baavjood asaatizah ke kalaam meiN alif kaa girnaa paayaa gayaa hei jaisaa ke Zauq kii ghazal meiN:
"kartaa, beemaar-e-muhabbat ka maseeHaa jo ilaaj
itnaa diq houta ke jeenaa use mushkil houtaa"
"aata, kiyuM MiSr meiN kanAaN se nikal kar Yousuf
jazba-e-ishq-e-zulaikhaa jou nah kaamil houtaa" )))
Shamsurrahman Farouqi Ahd-e-jadeed ke Aroozi muHaqqiq aur naqqaad maane jaate heiN.
In dalaayil kii raushni meiN agar ham saari baataoN ko nazar andaaz karte houe agar sirf saaqiT shudah "alif" waale lafz kii Sauti ravaani dekheN tou hamaara zauq yeh kehtaa hei ke zaroor koii khalal hei.
Bashi Badr kaa misrA hei:
""tujhe aitebaar.o.yaqeeN naheeN, naheeN DUNYAA itnee buree naheeN"
Is misreA meiN ((dunyaa itni buree nahiN)) kii bajaaye yooN karke paRhiye:
((loag itne bure nahiN))
tou kyaa ravaani meiN kuch farq meHsoos hougaa yaa nahiN.
Waise hii Sheikh Ibrahim Zauq ke ashAar meiN bhii yeh khalal meHsoos houtaa hei.
Agar aapka zauq-e-saleem is qism ke suqooT ko gawaaraa kartaa hei tou aap asaatizah kii taqleed karsakti heiN.
Shaayeri ke ibtidaayi daur meiN mujh se mere doust ke waali Moizzuddin Multaani Saahib marhoom ne kahaa thaa: "Nazir Saahib aapka sheAr tou kuch yooN hei:
"dil jo har dam udaas rehtaa hei
Khuda jaane kis ke paas rehtaa hei"
Yani lafZ "khudaa" ka Harf "alif" buri TaraH saaqiT houraaa hei.
Meezaan-e-Adl aapke haathaoN meiN hei, kiyunkeh meraa kaam tou sirf itnaa hei ke aqvaal aur dalaayil ko samajhne aur samjhaane kii koushish karuN. Shukriyah.
[color\brown]
Aapka Mukhlis,
Nazir.
[/color]
aadaab,
aap ke tafseelee jawaab ke liye az.had mamnoon hooN.
maiN ne :Mushaira: meN bhee aap kaa tabsarah paRhaa thaa aur ab yahaaN bhee jo tafSeel aap ne beyaan kee hai, uss se buhat kuch seekhane ko milaa.
agar daikhaa jaaye tau agarche iss soorat men :alif: ko giraanaa jaa'iz naheeN samjhaa jaataa hai magar phir bhee shaa'ir ba.haalat.e.majboori aisaa kar hee lete haiN aur micaaleN aap ke saamne haiN.
bahar.kaif maiN mustaqbil meN ye khayaal rakhooN gee.
aap kee ma'loomaat kaa aik baar phir buhat buhat shukriya!!
mukhliS
Naheed