Page 2 of 5

Posted: Thu Jul 14, 2005 4:20 pm
by PK Swami
Muhatrim Nazir Saheb,
aadaab


chaahtaa hooN ke shab-e-vaSl muqaabil tere
apnaa dil cheer ke balaaooN ke us meiN kyaa hei. [/color]

aapne khoobsurat sher likhaa hai. doosraa misra theek samajh naheeN aayaa aur kuchh tashreeh talab maloom hotaa hai. baree inaayat hogee!

PK swami

Posted: Thu Jul 14, 2005 4:26 pm
by PK Swami
chiTvanooN se miltaa hai, kuchh suraagh baatin kaa
chaal se to qaafir par saadgee barastee hai



PK swami

Posted: Fri Jul 15, 2005 9:52 pm
by RAUSHNEE
chheen lo mujh se ravadari-e-ehsaas-e-wafaa
ya dar-e-yaar pah ba-deeda-e-tar jaane do

Posted: Sun Jul 17, 2005 4:47 am
by Hashmat Usmani
chalte ho to chaman ko chaliye
kahta haiN ki bahaaraaN hai



Meer Taqii "Meer"

Posted: Sun Jul 17, 2005 4:05 pm
by PK Swami
chiraagh.e saaghar se lau lagaa kar, na payaa kuchh bhee fasurdgee ne
sitam to ye hai k sholaa haaie sharaab bhee bujh ke rah gaye haiN

PK swami

"cheem"

Posted: Mon Jul 18, 2005 3:17 pm
by Abdullah Nazir



chaman waalaoN ne yeh samjhaa keh dunyaa mil gaii ham ko

magar unko khabar kyaa rouz ham mar mar ke jeete heiN



Nazir.


Posted: Wed Jul 20, 2005 5:30 am
by Waqar Zaidi
chalye ham jaisay faqeeron kay nagar main rahiye

zeest mushkil hay akailay na safar main rahiye

================================================

Posted: Sat Jul 23, 2005 5:01 pm
by Waqar Zaidi
chaadar zameen ki oorh kar so jaayain ab Waqar

har sitam dhaanay ko ik aasmaan bay dar milaa

================================================

Posted: Fri Jan 06, 2006 10:02 pm
by ummassad
chupaker aasteen main bijlliyen rakhi hain gardoun ne
anadil baag ke gafil nabaithen aashiyanon main

Posted: Sat Jan 07, 2006 7:58 pm
by ummassad
cend kaliyan niishat ki chunkar mudatoon mahu-e- yas rahta houn
tera milna khshi ki baat sahi tujh se milker udaas rahta houn

Posted: Tue Jan 10, 2006 8:25 pm
by ummassad
chalo accha hua kaam aagai diwangi apni .
wagarna hum zamane bhar ko samjhane kahan jate

che

Posted: Sat Mar 04, 2006 4:02 am
by Abdullah Nazir



chashm-e-jaanaaN tou kabhi tishna-e-jaadoo nah houi

kyaa karuN meri TabeeAat hi jou yaksoo nah houi.


Shaayher: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Mar 25, 2006 6:16 pm
by ummassad
cheragan kerke dil bhelarahe ho kya jahan waloon
andhera laakh roushan ho ujala phir ujala hy

cheem

Posted: Tue Mar 28, 2006 1:26 am
by Abdullah Nazir



churaakar zindagi se chand lamHe

chalo kuch der dil ki baat karleN.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Thu Mar 30, 2006 1:58 am
by ummassad
chupana bhi nahini aata jatana bhi nahi aata
hamain tum se mahobat hy batana bhi nahi aata