Page 2 of 3
Posted: Tue Jul 26, 2005 9:52 pm
by RAUSHNEE
bus ik daagh-e-sajda meri kayenat
jabeinai'n teri astanay teray
Posted: Wed Jul 27, 2005 1:31 am
by Hashmat Usmani
aao! ik sajda kareN 'aalam-e-madhoshii meN
log kahte haiN ke "SaaGhar" ko Khudaa yaad nahiiN
SaaGhar Siddiqui
Posted: Wed Jul 27, 2005 5:43 am
by Hashmat Usmani
ye saaraa jism jhuk kar bojh se dohraa huaa hogaa
maiN sajde meN nahiiN thaa, aapko dhoka huaa hogaa
Dushyant Kumaar
Posted: Thu Jul 28, 2005 6:21 pm
by Hashmat Usmani
bas ek sajda-e-shukraana paa-e-naazuk par
yeh mai_kada hai, yahaaN par Khudaa kaa naam na le
SaaHir Bhopaalii
"sajdah"
Posted: Fri Jul 29, 2005 4:27 am
by Abdullah Nazir
"maiN jo sar ba sajdah houaa kabhii tou zameeN se aane lagi Sadaa
tira dil tou hei Sanam aashnaa tujhe kyaa milegaa namaaz meiN"
Allaamah Iqbal
Nazir.
Posted: Fri Jul 29, 2005 5:46 am
by Hashmat Usmani
safeN kaj, dil parishaaN, sajda be_zauq
k jazba-e-andaruuN baaqii nahiiN hai
'allaamah Iqbaal
Posted: Fri Jul 29, 2005 8:28 am
by syed bilal armaan
jabeen sajda kartey hi karti gayee
haq-e-bandagi ham ada kar chaley
Posted: Fri Jul 29, 2005 11:04 am
by Hashmat Usmani
karuuN aisaa sajda vo ghabraa ke kah deN
Khudaa ke liye ab to sar ko uThaa le
Qamar Jalalwi
Posted: Fri Jul 29, 2005 12:20 pm
by RAUSHNEE
kabhi ai haqeeat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein
k hazaron sajde tarap rahe hain meri ik jabeen-e-niaz mein
Posted: Fri Jul 29, 2005 3:03 pm
by PK Swami
khuloos.e dil se ho sajdaa to oos sajde ka kyaa kahnaa
vaheeN par ban gayaa kabaa jahaaN maine jabeeN rakh dee
PK Swami
Posted: Fri Jul 29, 2005 6:38 pm
by Hashmat Usmani
bas ek daaGh-e-sajda merii kaayenaat
jabiineN terii, aastaane tere
Abdul Hameed "Adam"
Posted: Sat Jul 30, 2005 5:16 am
by Hashmat Usmani
yeh kis ke aastaaN par mujh ko zauq-e-sajda le aayaa
k aaj apnii jabiiN, apnii jabiiN ma'luum hotii hai
CharaaGh Hasan "Hasrat"
Posted: Sun Jul 31, 2005 5:51 am
by Hashmat Usmani
sarzad ham se be-adabii to wai'Hshat meN bhii kam hii huii
kosoN us kii or gaye par sajda har har gaam kiyaa
Meer Taqii "Meer"
Posted: Sun Jul 31, 2005 9:09 am
by tabasum
aao ik sajda kareN aalam-e-mad'hoshi meiN
log kehte haiN ke saaghar ko khudaa yaad nahiN
Posted: Mon Aug 01, 2005 7:42 am
by syed bilal armaan
assalam walekum
tamam URDU BANDHAN members ka bahut bahut shukriya ke app sab ney is unwan par bahut acche acche ashar bheje, lekin ab is unwan ka bhi waqt katam ho gaya hai. is martaba ka naya unwan hai "Deewana". app is unwan par bhi apne behtareen ashar bhejein. Ye unwan naye post (new thread) may mulaheza kijye.
NOTE:is baar se unwan har 10 din badla jaye gaa.
S.M.BILAL