Page 2 of 3

Posted: Sun Aug 07, 2005 12:03 pm
by RAUSHNEE
jub say tu nay mujhe deewana bana rakha hai
sang her shakhs nay hathoon mein utha rakha hai

Posted: Mon Aug 08, 2005 3:00 pm
by tabasum
bara ajeeb muhabbat ka ye fasana hai
dil hai tera, too kisi aur ka dewana hai

"deewaanah"

Posted: Wed Aug 10, 2005 2:57 am
by Abdullah Nazir



Din raat uski yaad usi kaa khayaal hei

jiskin nigaah-e-naaz ne deewaanah kardiyaa.



Nazir.


Posted: Wed Aug 10, 2005 8:52 am
by syed bilal armaan
salam walekum
Dostoun app ney is unwan par bhi bahut acche ashar likhe.is liye shukriya.lekin ab is unwan ka bhi waqt katam ho gaya hai.naye fourm may naya unwan mulaheza kijye.

S.M.BILAL

Posted: Wed Aug 10, 2005 9:02 am
by Shummu
S.Bilal sahab ....kaise hain aap? NAYA LAFZ kya hai bata dijiye to main use STICKY kar doon..shukriya .

Posted: Wed Aug 10, 2005 9:11 am
by syed bilal armaan
naya lafz hai "ZINDAGI"

Posted: Wed Aug 10, 2005 9:12 am
by Shummu
shukriya maine us post ko sticky kar diya hai:)

ASAK

Posted: Sun Dec 18, 2005 5:19 pm
by ummassad
TUMHARI ANJUMAN SE UTH KE DIWAANE KAHAN JATE
JO WABASTA HUE TUMSE WO AFSANE KAHAN JATE

"deewaanah"

Posted: Tue Apr 18, 2006 6:06 pm
by Abdullah Nazir



dasht-e-ghurbat meiN houaa Haal digargooN meraa

ai muHabbat mujhe kuch aur nah deewaanah banaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.