Page 2 of 3

"zindagi"

Posted: Fri Aug 19, 2005 5:12 pm
by Abdullah Nazir



zindagi meiN ham ne kyaa khouyaa hei tum se kyaa kahaiN

gou chupaate heiN magar roodaad-e-dil chupti nahiN.



Nazir,


Posted: Sun Aug 21, 2005 3:11 pm
by syed bilal armaan
Dostoun app ney "ZINDGI" unwan par bahut acche ashar likhe.lekin ab is unwan ka bhi waqt katam ho gaya hai. Ab pesh hai ek nay unwan "DAREECHA" app is unwan par bhi apne pasandida ashar likhiye.ye unwan app naye fourm may mulaheza kijye.

Posted: Fri Jan 06, 2006 9:52 pm
by ummassad
zindagi kye hai anasir main zahoore trteeb
moot kye hai inhi ajza ka parishan hona

"zindagi"

Posted: Sun Mar 19, 2006 6:01 am
by Abdullah Nazir



qurbateN kis kaam ki heiN dousti kis kaam ki

zindagi douzakh agar hou, zindagi ki kaam kii.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Tue Mar 21, 2006 1:01 am
by ummassad
meri zindagi hy zalim tere gum se aashkara
tera gum hy der haqiqat mujhe zindagi se pyara

zindagi

Posted: Tue Mar 21, 2006 12:56 pm
by Abdullah Nazir



ik dasht-e-gham aur miri aazurdah zindagi

maiN laRkhaRaarahaa hooN zaraa thaamnaa mujhe.


Shaayher: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Thu Nov 22, 2007 7:19 am
by zmufti
zindagi khawab-e-pareshaaN hai koi kyaa jaane
maut ki larzish-e-mizgaaN hai koi kya jaane

Posted: Tue Dec 04, 2007 4:36 pm
by zmufti
[align=center] یا خدایا حشر میں نہ دینا مجھے
پھر کوئی سزا زندگی جیسی
[/align]

Posted: Mon Jan 14, 2008 10:37 am
by Ujala Arif
zindagi ka koi iHsan nahiN hay mujh par
meN nay dunya maiN har aik saaNs ki qiimat di hay

Posted: Wed Jan 16, 2008 5:02 pm
by Arif Naseem
khoob

zindagi aainaa hai zakhmoN ka
ajnabi to nahiN shabahat i jaaN

Posted: Sat Jan 26, 2008 3:58 pm
by Arif Naseem
zindagii tujh pe buhut raqS kia hay maiN nay
ab ye Hasrat hay kabhi tujh ko nacha kar dekhoN

Posted: Fri Feb 01, 2008 12:33 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Zindagee meN to sabhee payaar kiya karte haiN
maiN to mar kar bhee miree jaaN tujheY chahooN gaa!

Qateel Shifaee marHoom![/align]

Posted: Sun Feb 03, 2008 6:18 pm
by ummassad
Zindagi main doo hi lamhey mujh pe guzrey hain kathin .
aik tery aaney se pehley aik tery janey ke baad .

Posted: Sun Feb 17, 2008 6:11 am
by jawaid badauni
hamaaree zindagee bhi zindagee kahne ke qaabil thee

magar woh zindagee jo koo.e jaanaaN meN guzaar aaye


"Raunaq Badauni MarHoom"

Posted: Sun Feb 17, 2008 4:17 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]ujaaleY apnee yaadooN ke hamare saath rehne do
najaane kis galee meN zindagee kee shaam ho jaeY!

Basheer Badar[/align]