Page 2 of 3

"khai"

Posted: Tue Sep 06, 2005 2:34 am
by Abdullah Nazir



khudaa kare ke Aataa hou tujhe baSeerat bhii

hou iAtibaar ke qaabil miri muHabbat bhii.



Nazir.


"khai"

Posted: Wed Sep 07, 2005 2:35 pm
by Abdullah Nazir



kharzaraoN meiN barhna-paa chaloon kab tak bataa

Ai khudaa insaaN hooN maiN bhii koii paththar tou nahiN




Nazir.


Posted: Wed Sep 07, 2005 7:17 pm
by zmufti
khuda ke aashiq to haiN hazaroN banoN maiN phirte haiN maare maare
maiN us ka banda banoN ga jis ko khuda ke bandoN se piyaar ho ga

Posted: Thu Sep 15, 2005 8:15 am
by hassan_bashir
khud se mil jaate to chaahat ka bharam reh jaata
kyaa mile aap jo logoN ke milaane se mile

ASAK

Posted: Tue Dec 13, 2005 4:24 pm
by ummassad
KHUDI KO KAR BULAND ITNA KE HER TAKDEER SE PAHLE

KHUDA BANDE SE KHUD PUCHE BATA TERI RAZA KYE HAI

Posted: Sat Jan 07, 2006 7:20 pm
by ummassad
khudi ko kar buland itna ke her takdeer se pahle
khuda bande se khud puche bata teri raza kye hai

Posted: Mon Jan 09, 2006 8:42 pm
by ummassad
khuda ke bande tuu hain hazzaroun banoun main phirte hain mare mare
main uska banda banunga jisko khuda ke bandoon se pyar hoga

Posted: Tue Jan 10, 2006 8:50 pm
by ummassad
khudi main doobja gafil yh saar-e- zindagani hai
nikalker halqhe-e- sham-o- saher se javidan hoja

khe

Posted: Tue Feb 28, 2006 1:30 am
by Abdullah Nazir



khayaal-e-taazagiy-e-rang o boo se kyaa hougaa

chaman qareeb nahiN, aarzoo se kyaa hougaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Tue Feb 28, 2006 7:44 am
by ummassad
khuloos.e.dil se sajda ho tu us sajde ka kya kahna
waheen kaba sarak aaya jabeen main ne jahan rakhdi

"khe"

Posted: Tue Feb 28, 2006 7:27 pm
by Abdullah Nazir



khirad kehte heiN kisko hei junooN kyaa

zamaanah kehrahaa hei maiN kahooN kyaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.