maah-e-AUGUST ke muntakhib shaa'r...Dr. Bashir badr

Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

ok PK SWAMI jee i'll convey ur message to him....! I guess Hashmat jee is from ALLAHABAD....

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

ab kise chaahe.n kise Dhuu.NDhaa kare.n
vo bhii aaKhir mil gayaa ab kyaa kare.n

halkii halkii baarishe.n hotii rahe.n
ham bhii phuulo.n kii tarah bhiigaa kare.n

aa.Nkh muu.Nde us gulaabii dhuup me.n
der tak baiThe use sochaa kare.n

dil muhabbat diin duniyaa shaayarii
har dariiche se tujhe dekhaa kare.n

ghar nayaa kapa.De naye bartan naye
in puraane kaaGazo.n kaa kyaa kare.

- Bashir Badr

===============================

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

Aadab,


Sau Khulus baataoN maiN sab karam KhayaaloN maiN
Bas zaraa wafaa kam hai tere shehar waaloN maiN


Pahalii baar nazaroN ne chaaNd bolate dekhaa
Hum javaab kyaa dete kho gaye savaaloN maiN


Raat terii yaadoN ne dil ko is tarah chheDaa
Jaise koii chuTakii le narm narm gaaloN maiN


Merii aaNkh ke taare ab na dekh paaoge
Raat ke musaafir the kho gaye ujaaloN maiN



Poet:- Bashir Badr
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

Aadab,


Socha nahiiN achha bura dekha sunaa kuchh bhii nahiiN
MaaNgaa Khuda se raat din tere sivaa kuchh bhii nahiiN


Dekhaa tujhe sochaa tujhe chaahaa tujhe puujaa tujhe
Merii Khataa merii wafaa terii Khataa kuchh bhii nahiiN


Jis par hamaarii aaNkh ne motii bichhaaye raat bhar
Bheja wahii kaaGhaz use hamane likha kuch bhii nahiiN


Eek shaam kii dahaliiz par baiThe rahe woh der tak
AaNkhoN se kii baateN bahut muNh se kahaa kuch bhii nahiN


Do chaar din kii baat hai dil Khaak maiN so jaayegaa
Jab aag par kaaGhaz rakhaa baakii bachaa kuchh bhii nahiiN


Ehasaas kii Khushbuu kahaaN, aavaaz ke juganuu kahaaN
Khaamosh yaadon ke sivaa, ghar maiN rahaa kuch bhii nahiiN


Poet:- Bashir Badr
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

Aadab,



vahii taaj hai vahii taKht hai vahii zahar hai vahii jaam hai
ye vahii Khudaa kii zamiin hai ye vahii butoN kaa nizaam hai



baDe shauq se meraa ghar jalaa koii aaNch na tujhape aayegii
ye zubaaN kisii ne Khariid lee ye qalam kisii kaa Ghulaam hai



maiN ye maanataa huu.N mere diye terii aaNdhiyoN ne bujhaa diye
magar ik juganuu havaaoN maiN abhii raushanii kaa imaam hai


Poet:- Bashir Badr
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

Aadab,


mere saath tum bhii duaa karo yuu.N kisii ke haq me.n buraa na ho
kahii.n aur ho na ye haadasaa ko_ii raaste me.n judaa na ho


mere ghar se raat kii sej tak vo ik aa.Nsuo.N kii laqeer hai
zaraa ba.D ke chaa.Nd se puchhana vo isii taraf se gayaa na ho


NOTE: Some books have the first misra of the above sher as:
merii chhat se raat kii subah tak ko_ii aa.Nsuuo.n kii lakiir hai


sar-e-shaam Thaharii hu_ii zamii.n, aasamaa.N hai jhukaa huaa
isii mo.D par mere vaaste vo charaaG le kar kha.Daa na ho


vo farishte aap hii Dhuu.NDhiye kahaaniyo.n kii kitaab me.n
jo buraa kahe.n na buraa sune ko_ii shaKhs un se Khafaa na ho


vo visaal ho ke firaaq ho terii aag mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo charaaG ban ke jalaa na ho


mujhe yuu.N lagaa ki Khamosh Khushbu ke ho.NTh titalii ne chhuu liye
i.nhii.n zard patto.n kii oTh me.n ko_ii phuul soyaa huaa na ho


isii ehatiyaat me.n mai.n rahaa, isii ehatiyaat me.n vo rahaa
vo kahaa.N kahaa.N mere saath hai kisii aur ko ye pataa na ho



Poet:- Bashir Badr
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

Aadab,


Kahii.n chaa.Nd raaho.n me.n kho gayaa kahii.n chaa.Ndanii bhii bhaTak ga_ii
Mai.n charaaG woh bhii bujhaa huaa merii raat kaise chamak ga_ii


Merii daastaa.N kaa uruuj thaa terii narm palako.n kii chhaa.Nv me.n
Mere saath thaa tujhe jaaganaa terii aa.Nkh kaise jhapak ga_ii


Kabhii ham mile to bhii kyaa mile vahii duuriyaa.N vahii faasale
Na kabhii hamaare qadam ba.Dhe na kabhii tumhaarii jhijhak ga_ii


Tujhe bhuul jaane kii koshishe.n kabhii qaamayaab na ho sakii.n
Terii yaad shaaKh-e-gulaab hai jo havaa chalii to lachak ga_ii



Poet:- Bashir Badr
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

wah wah bahut shukriya hassan jee!!!

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
BeeKay
nau-waarid
Posts: 14
Joined: Fri Feb 25, 2005 6:49 am
Location: Sehra
Contact:

Post by BeeKay »

If by "Hasmat Saheb" you mean our very own MM, he is from Muradabad and NOT from Allahbad!

and here is Dr Bashir Badr in his own voice.....

http://mushaira.org/ppage.php?poet_name=Bashir+Badr

bk
Last edited by BeeKay on Thu Aug 23, 2007 9:32 pm, edited 1 time in total.
"hum Qalandar haiN, jo kehtay haiN aTal kehtay haiN!!"
Post Reply