zmufti wrote:Shummo jee
aap ki ghazal buhat achi lagi
khas tor per yeh sher
ye kaisa shehr hai? yaaro!yahaan par
humeiN hotii hai wehshat aadmii se
take care
zarqa
Zarqaa jee ghazal ki pazeraayi farmaane ka aur khaas taur pe us ek sher ko pasand farmaane ka dili shukriya
SHumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
janaab matla'aat ki bhar maar se pareeshaan ho kar ham mufaSSal comments dene se a'aajiz haiN ! kuchh to Khudaa ka Khauf kejeye! aaKhir ungliyaaN haiN thak jaatee haiN likhte likhte ! is leye maiN ne is baar 3 mat'aoN aur 2 shea'roN par iktefaa kiyaa hai !
aap ki Ghazal ka har shea;r apnee daad wusool karchukaa hai , to ab maiN Ghareeb kis shumaar maiN ?
jitnee aap chaaheN daad qabool kejeye ! is KhoobSoorat taKhleeq par !
moKhliS :
Zia Baloch
Mohtaram Zia baloch sahab..aap ki aamad aur ghazal ki pazeraayi farmaane ke liye hum tah-dil se aap ke shukrguzaar hain.....ummeed karte hain ki aayenda aap zara jaldi tasreef laaya karenge
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai