Page 2 of 2

Posted: Sun Aug 28, 2005 1:26 pm
by Shummu
zmufti wrote:Shummo jee
aap ki ghazal buhat achi lagi
khas tor per yeh sher
ye kaisa shehr hai? yaaro!yahaan par
humeiN hotii hai wehshat aadmii se
take care
zarqa
Zarqaa jee ghazal ki pazeraayi farmaane ka aur khaas taur pe us ek sher ko pasand farmaane ka dili shukriya :grin:

SHumaila

Posted: Sun Aug 28, 2005 7:39 pm
by Shummu
Star Mind wrote:Shumaaila SaaHiba, ham aagaye :)

janaab matla'aat ki bhar maar se pareeshaan ho kar ham mufaSSal comments dene se a'aajiz haiN ! kuchh to Khudaa ka Khauf kejeye! aaKhir ungliyaaN haiN thak jaatee haiN likhte likhte ! is leye maiN ne is baar 3 mat'aoN aur 2 shea'roN par iktefaa kiyaa hai !

aap ki Ghazal ka har shea;r apnee daad wusool karchukaa hai , to ab maiN Ghareeb kis shumaar maiN ?

jitnee aap chaaheN daad qabool kejeye ! is KhoobSoorat taKhleeq par !

moKhliS :

Zia Baloch

Mohtaram Zia baloch sahab..aap ki aamad aur ghazal ki pazeraayi farmaane ke liye hum tah-dil se aap ke shukrguzaar hain.....ummeed karte hain ki aayenda aap zara jaldi tasreef laaya karenge :twisted:

Shumaila

Re: Bahut achci ghazal kahi hei aap ne

Posted: Sun Aug 28, 2005 7:43 pm
by Shummu
irfan barabankwi wrote:shumailah saahibah

wah wah bahut khoob. aapto mujhko bhool gayi haiN lekin meri janib se dili daad aur mubarakbaad haizir hai

khair andaish

irfan barabankwi
arey nahi kaisi baat karte hain ..bhala hum aap ko kaise bhool sakte hain.... :-)

shukriya daad-o-tehseen se nawaazne ka....hamesha aap ki daad ki muntazir rehti hoon :grin:

Shumaila

Re: Bahut khoob

Posted: Sun Aug 28, 2005 7:45 pm
by Shummu
WEBMASTER wrote:
Azeezah
S H U M M U,

Aap ne apne sheAr No.12 ko badal kar is qadar khoobsoorat banaadiya hei ke dil se daad nikal rahi hei. Bahut khoob.

Mubaarakbaad.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


BAHUT NAWAAZISH NAZIR SAHAB :grin: