Page 2 of 4

"naam"

Posted: Sat Sep 03, 2005 3:49 pm
by Abdullah Nazir



naam aajaataa hei lab per usi raqqaaSa ke

naachnaa chouRke jis ne hei nachaayaa mujhko.



Nazir.


"naam"

Posted: Sun Sep 04, 2005 5:24 am
by Abdullah Nazir



naam lene lagaa uskaa tou yeh poochaa dil ne

kyaa tujhe aaj bhii ummeed-karam hei us se.



Nazir.


Posted: Sun Sep 04, 2005 8:51 am
by Shummu
tujhe izhaar-e-moHabbat se agar nafrat hai
tu ne honToN ko larazne se to rokaa hota

be-niaazi se, magar kaanpti aawaaz ke saath
tu ne ghabraa ke miraa naam na poocha hota

"naam"

Posted: Sun Sep 04, 2005 10:23 am
by Abdullah Nazir



maiN ne to likhdiye dil o jaaN uske naam per

chooTaa nah phir bhi uskaa bahaane taraqshnaa.



Nazir.


Posted: Mon Sep 05, 2005 9:05 am
by syed bilal armaan
yooN dosti ke naam ko rusvaa na keejiye
tark-e-ta'alluqaat ka charchaa na keejiye

Posted: Mon Sep 05, 2005 9:11 am
by syed bilal armaan
jab naam tera pyaar se likhti haiN ungliyaaN
meri taraf zamane ki uThti haiN ungliyaaN

patthar taraash kar na banaa taaj ik nayaa
fankaar ki zamaane meiN kaTti haiN ungliyaaN

"naam"

Posted: Tue Sep 06, 2005 2:17 am
by Abdullah Nazir



jab apne dil pah naqsh tiraa naam karliyea

kaise manaauN tujh se taghaaful-shiAaar ko.



Nazir.


"naam"

Posted: Wed Sep 07, 2005 2:30 pm
by Abdullah Nazir



naam vohi hei khoob-tar jou hei tumhaare naam saa

zikr usii kaa lab pah hei, qalb meiN iHtiraam saa.



Nazir.


Posted: Fri Sep 09, 2005 8:48 am
by syed bilal armaan
dil ko tumhaare NAAM ke aansoo azeez thay
dunya ka koi dard samone nahi dia

Posted: Fri Sep 09, 2005 8:50 am
by syed bilal armaan
kisi ka naam lo ,be naam afsaane bohot se hain
najaane kis ko tum kehte ho, dewaane bohot se hain

Posted: Fri Sep 09, 2005 8:52 am
by syed bilal armaan
berson ba`ad dekhaa ik shaks dilruba saa
ab zehan main nahin hey per naam tha bhalaa saa



Posted: Fri Sep 09, 2005 8:54 am
by syed bilal armaan
socha hoga us ne din maiN kaee baar mujhe
Naam hatheli pe bhi likh ke mitaaya hogaa

Posted: Fri Sep 09, 2005 8:59 am
by syed bilal armaan
Likhay jatay rahay jo auroon ke liye
Mere woh khat bhi Tumharay Naam

Posted: Fri Sep 09, 2005 9:06 am
by syed bilal armaan
hairaan hoon main aaj bhi ae be misaal shaks
kis kis ko tere NAAM se nisbat nahi rahi

Posted: Fri Sep 09, 2005 9:10 am
by syed bilal armaan
ab bhi diiwane ko itna hosh hai,
muskura detaa hai un ke naam se!