waah waaah poori ghazal murassa hai shummu sahiba
shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii
kisii ke khayaaloN meiN,khwaaboN meiN guzrii
bahut khoob , hijr ki kaifatoN ko bayan karne mai aapkamyaab haiN.
kabhii manzil-e-ishq paanaa thaa aasaaN
magar justujuu tab saraaboN meiN guzrii
theek hai
baDii be mazaa vasl kii raat thi jo
musalsal sawaaloN jawaaboN meiN guzrii
waah waah , bahut khoob , is silsile mai kia arz karsakta hoN ke apne apne tajarbaat hote haiN
kahin ho na jaaye miraa ghar bhi raushan
isi khauf se zau hijaaboN meiN guzrii
bahut acha sher hai
kabhii sher ban ke ,kabhii ban ke naGhmaa
miree khasta haalii naqaaboN meiN guzrii
waah kia niqaab hai aapka b hi ke sher o naghma ki shakl mai aajata hai.
bahut khoob
shikast-e-muhabbat ki itnii kahaanii.....
gul-e-khushk ban ke kitaaboN meiN guzrii
waah khooob acha khyaal hai.
miree aah-o-zaarii nashaa ban ke aksar
sar-e-bazm-e-rindaaN sharaaboN meiN guzrii
ji theek hai
woh kya jaane pur khaar rastoN ki shiddat
guzar gaah jiskii GhulaaboN meiN guzrii
hmm
naseehat hameiN kar rahaa hai woh naaSeH
sadaa umr jiskii KharaaboN meiN guzrii
waah
agar hauslaa hai to ban ke dikhaa de
Woh LAILAA kabhi jo nisaaboN meiN guzrii!!!
haN baat to hausle ki hai, waise ham ne laila ko school ke nisaab mai to nahi parha :)magar khuda khair karay majnooN ke haal par ,us ka kia hoga.
khairandesh
Mahtab Qadr
shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii(taaza ghazal)
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Arey wah Taskene jee aap...wow so happy to see u here also...bahut bahut khushaamadeed ..arey zameen ka credit to aap ko jaata hai..na aap mujhe apni ghazal dikhaate na main zameen se itni mutassir hoti aur na main tabaa azmaayi karti.....aap ne do do jagah mujhe daad se nawaaza...waqaii bahut zyaada hausla afzaayi hui hai meri..main dil ki gehraaiyon se aap ki mamnoon-o-mutashakkir hoon.... aate rahiyegaTaskeen wrote:Shumaila Sahiba,
Adaaab!!!!!
Itni sakht zameen mein kitni aasaani se aapne inte saare shaer keh diye, aur woh bhi aise ke har shaer par dil khol kar daad dena ka man kare. Subhaan Allah...Allah kare zor-e-qalam aur. Daad qabool farmaiye
Mukhlis
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Re: w'salaam Mahtaab jee....
Mahtab Qadr wrote:waah waaah poori ghazal murassa hai shummu sahiba
shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii
kisii ke khayaaloN meiN,khwaaboN meiN guzrii
bahut khoob , hijr ki kaifatoN ko bayan karne mai aapkamyaab haiN.
kabhii manzil-e-ishq paanaa thaa aasaaN
magar justujuu tab saraaboN meiN guzrii
theek hai
baDii be mazaa vasl kii raat thi jo
musalsal sawaaloN jawaaboN meiN guzrii
waah waah , bahut khoob , is silsile mai kia arz karsakta hoN ke apne apne tajarbaat hote haiN
kahin ho na jaaye miraa ghar bhi raushan
isi khauf se zau hijaaboN meiN guzrii
bahut acha sher hai
kabhii sher ban ke ,kabhii ban ke naGhmaa
miree khasta haalii naqaaboN meiN guzrii
waah kia niqaab hai aapka b hi ke sher o naghma ki shakl mai aajata hai.
bahut khoob
shikast-e-muhabbat ki itnii kahaanii.....
gul-e-khushk ban ke kitaaboN meiN guzrii
waah khooob acha khyaal hai.
miree aah-o-zaarii nashaa ban ke aksar
sar-e-bazm-e-rindaaN sharaaboN meiN guzrii
ji theek hai
woh kya jaane pur khaar rastoN ki shiddat
guzar gaah jiskii GhulaaboN meiN guzrii
hmm
naseehat hameiN kar rahaa hai woh naaSeH
sadaa umr jiskii KharaaboN meiN guzrii
waah
agar hauslaa hai to ban ke dikhaa de
Woh LAILAA kabhi jo nisaaboN meiN guzrii!!!
haN baat to hausle ki hai, waise ham ne laila ko school ke nisaab mai to nahi parha :)magar khuda khair karay majnooN ke haal par ,us ka kia hoga.
khairandesh
Mahtab Qadr
Bade din baad Mahtaab sahab aap ko apni thread meiN dekh kar behad musarrat hui....bahut bahut shukriya ke aapne ek ek sher ko daad se nawaaza.....bahut achcha lagta hai aap jaise sukhan shanaas se daad-o-tehseen paa ke..aayenda bhi nazar-e-karam farmaate rahiyega
Adaab,
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Re: aoa
poet wrote:shummu ji buhat khoob. umda ghazal hay.
shukra hay ka aap nay matlay chooR kar ghazal likhna shorro ki. aap nay buhat taraqi ki hay. mashallah.
bay maza rat ka too jawab nahi
buhat umda ghazal hay
buhat si dad
poet
Bahut bahut nawazish POET jee..aap ki baaton se aisa lag raha hai kahin aap woh to nahi jinhe main jaanti hoon Waise bahut nawaazish is qadar pazeraayi farmaane ke liye
Shukriya!
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Re: aoa
Shummu wrote:poet wrote:shummu ji buhat khoob. umda ghazal hay.
shukra hay ka aap nay matlay chooR kar ghazal likhna shorro ki. aap nay buhat taraqi ki hay. mashallah.
bay maza rat ka too jawab nahi
buhat umda ghazal hay
buhat si dad
poet
Bahut bahut nawazish POET jee..aap ki baaton se aisa lag raha hai kahin aap woh to nahi jinhe main jaanti hoon Waise bahut nawaazish is qadar pazeraayi farmaane ke liye
Shukriya!
Shumaila
ham siway hairat kay aur kia kah saktay hain. wasay aap say pehlay bhi ya dawa koee kar chuka hay ka woo hamain jantay hain. lakin ham pur yaqeen hain kah ham sab kay lay ajnabi haina aur sab hamaray lay. lakin ya nahi wazih hoo saka ka woo koon si waja hay jis kay baic har par kia ka guman hoota hay. ham nay ya sawal pehlay daway dar say bhi kia tha aap say bhi kartay hian. umeed hay aap jawab dain gi. pm hi kar dain bayshack.
ham sirf adab dost hain. shayri parhna hamaray mashgala hain. taqreeban sab hi koo parhtay hain. koee khas bat hoo too zaroor reply kartay hain. aap ki ghazal pasand aai too reply kar dia. warana parhtay too pehlay bhi thay. lakin aap ki ghaloon main ya khami hooti thi ka matloon kay sabab ghazal boojhla mehsoos hooti thi is lay kabhi dad nahi di.
is bar aap ka kalam guzashta say mukhtalif laga too dad paish kar di.
aap kay pm kay muntazir rahain gay