Page 2 of 3
Posted: Thu Sep 15, 2005 1:04 pm
by hassan_bashir
meri TanhaaeeyoN tum hee lagaa lo mujh ko seene se
ke maiN ghabraa gayaa hooN is tarah ro ro ke jeene se
~ Bahadur shah zafar ~
"tanhaayi"
Posted: Fri Sep 16, 2005 2:18 am
by abdulhadiruswa
YooN tou yaad uski bahut aati hei tanhaayie meiN
Phir bhi rou rou ke basar karletaa hooN raateN tanhaa.
Ruswa.
Posted: Fri Sep 16, 2005 8:21 am
by syed bilal armaan
qayamat hai dil-e-mahjoor kaa eHsaas-e-tanhaaii
akelay ab to ham akcar bhari meHfil meiN rehte haiN
Posted: Fri Sep 16, 2005 8:39 am
by syed bilal armaan
koii ye kaise bataaye ke vo tanhaa kyun hain
vo jo apnaa thaa vohii aur kisii kaa kyun hain
yahii duniyaa hai to phir aisii ye duniyaa kyun hain
yahii hotaa hai to aakhir yahii hotaa kyun hain
"tanhaayi"
Posted: Fri Sep 16, 2005 8:40 am
by Abdullah Nazir
tire waAdaoN pah jaane kis liye mujhko bharousah thaa
qiyaamat khez tanhaayi meiN akcar poochtaa hooN maiN.
Nazir.
Posted: Sat Sep 17, 2005 4:11 pm
by syed bilal armaan
har waqt ka hansna tujhey barbaad na kar dey
tanhayee kai lamho'n main kabhi ro bhi liya kar
Posted: Sat Sep 17, 2005 4:46 pm
by hassan_bashir
Dil ke aramaaN aaNsuoN maiN beH gaYe
Hum wafaa kar ke bhi Tanhaa reH gaYe
Posted: Mon Sep 19, 2005 4:16 pm
by syed bilal armaan
har waqt ka hansna tujhey barbaad na kar dey
tanhayee kai lamho'n main kabhi ro bhi liya kar
"tanhaayi"
Posted: Tue Sep 20, 2005 12:43 pm
by Abdullah Nazir
waAda-e-vaSl kiyaa, de gayii tanhaayi kiyuN
door rehnaa thaa agar, paas mire aayi kiyuN
be-wafaayi kaa chalan us pah taqaazay-e-wafaa
aisi qaatil se houi jaane shanaasayi kiuN
Nazir.
Posted: Tue Sep 20, 2005 8:38 pm
by Shummu
apni tanhaai mere naam pe aabaad kare
kaun hoga jo mujhe us ki tarah yaad kare?
"tanhaayi"
Posted: Wed Sep 21, 2005 12:53 am
by Abdullah Nazir
yaad kartaa hooN maiN her dam tujhe tanhaayi meiN
lekin ai doust zamaane kaa bharousah nah rahaa.
Nazir.
Posted: Wed Sep 21, 2005 8:37 am
by syed bilal armaan
ASSALAM WALEKUM!
ummid karta hoon k app sab log khairiyat se honge.Dostoun app ney unwan"TANHAII?TANHA" par bahut acche ashar likhe.lekin ab is unwan ka bhi waqt katam ho gaya hai. Ab pesh hai ek nay unwan "LAFZ / ALFAZ" app is unwan par bhi apne pasandida ashar likhiye.naya unwan naye fourm may mulaheza kijye.
S.M.BILAL ARMAAN
tanahayi
Posted: Wed May 10, 2006 2:52 am
by Abdullah Nazir
MeHfil-e-yaar ho yaa Aalam-e-tnhaayi ho
aadami wo hei jise shauq-e-jabeeN-saayi ho.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed May 10, 2006 11:10 pm
by ummassad
aawara hey galyoun maen'main aour mari tanhaayi
jayain tuu kahan jayain her moord py ruswai
tanhaayi
Posted: Mon May 15, 2006 12:32 pm
by Abdullah Nazir
aa bhi jaaou keh gale milne se kuch chain paRe
zindagi warnah guzarjaayegi tanhaayi meiN.
Shaayer: Abdulah Nazir.
Nazir.