Page 2 of 3
"daal"
Posted: Thu Sep 22, 2005 2:01 am
by Abdullah Nazir
daaman-e-yaar hei bheegaa houaa ashkaoN se mire
abr-e-gham jaari hei barsaat kahaaN khatm houii.
Nazir.
"daal"
Posted: Sat Sep 24, 2005 1:04 pm
by Abdullah Nazir
Dil dukhaakar yeh samajhte hou maseeHaayi kii
khush raho saath muHabbat kaa nibhaane waalo.
Nazir.
"daal"
Posted: Sun Sep 25, 2005 11:21 pm
by Abdullah Nazir
Dil kaa charaagh jaltaa rahaa uski yaad mei
zaalim ne phir bhii taal diyaa meri baat ko,
Nazir.
Posted: Wed Sep 28, 2005 10:47 am
by Shummu
dil uska dard-o-hasrat-o-gham ka mazaar thaa
itna to koi be sar o samaan bhi na thaa
"daal"
Posted: Thu Sep 29, 2005 1:44 am
by Abdullah Nazir
[color=blue[
dil ko milte rahe aazaar-e-muHabbat paiham
tujh se phir bhii mujhe ai doust shikaayat nah houii.
[/color]
Nazir.
"wo"
Posted: Sat Oct 01, 2005 12:39 pm
by Abdullah Nazir
wo micl-e-maah chupgayaa chaandi utaar ke
DhoondooN kahaaN maiN usko shab-e-gham guzaar ke
Nazir.
Posted: Wed Dec 28, 2005 4:58 pm
by ummassad
dekh zindan se pare rang-e- chaman josh-e-bahar
raks karna ho tu phir paon ki zanjeer na dekh
Posted: Fri Jan 20, 2006 9:39 pm
by ummassad
duniyan main houn duniyan ka talabgar nahi houn
baazar se guzra houn khareedar nahi houn
Posted: Fri Feb 10, 2006 2:23 pm
by Daanish
dil-e-ehbaab meiN ghar hai, shagufta rahti hai khaatir
yahi jannath hai meri aur yahi baagh-e-iram mera--Pandit Brij NaraiN 'Chakbast'
Posted: Mon Feb 13, 2006 8:47 pm
by ummassad
duayen do mahobet humne mit ker tumko sikhladi
na jalti shamma mahfil main tu parwane kahan jate
Posted: Wed Feb 15, 2006 1:42 am
by Daanish
dil taa jigar ke saahil-e-dariya-e-khooN hai ab
is rehguzar meiN jalwa-e-gul aage gard thha--Ghalib
Posted: Sat Feb 18, 2006 6:55 am
by ummassad
dard minat kashe dawa na hua
main na accha hua bura na hua
"daal"
Posted: Thu Feb 23, 2006 2:45 am
by Abdullah Nazir
deeda-e-shauq ko rakhte heiN jahaaN se ghaafil
her TaraH se heiN bari, Husn ke ilzaam se ham.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir,
Posted: Fri Mar 03, 2006 4:04 pm
by ummassad
dil ki tanhaai ko aawaz bana leete hain
dard jeb had se guzerta hy tuu gaa lete hain
daal
Posted: Sat Mar 04, 2006 3:48 am
by Abdullah Nazir
dil meiN shikwah hei tou aankhaoN meiN jali khaamoushi
tere dar per hei yeh meri adabi khaamoushi.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.