Page 2 of 2

"alfaaz"

Posted: Sun Sep 25, 2005 11:12 pm
by Abdullah Nazir



heiN meri aarzoo meiN jou alfaaz ke gohar

ai kaash tum samajh lo tou mujhko sukooN mile.



Nazir.


Posted: Mon Sep 26, 2005 7:27 pm
by Shummu
agar alfaaz miltay heiN, muaani bhool jaata hooN
meiN uus kay saamnay jaaduu b'yaani bhool jaata hooN

"alfaaz"

Posted: Tue Sep 27, 2005 6:44 am
by Abdullah Nazir
[size[18]


kaiee alfaaz aaye lab pah dil kii aarzoo ban kar

magar tuu ne kiyaa majrooH unko tund-khoo ban kar.



Nazir.

[/size]

Posted: Wed Sep 28, 2005 10:45 am
by Shummu
sun_nii haiN to phir Qais ke alfaaz meiN suniye!
farzaane ki baateN hoN k deevaane ki baateN!!!

Posted: Fri Sep 30, 2005 7:13 am
by syed bilal armaan
**tujh se lafz'oun ka nahi rooh ka rishta hai mera
too meri sans'oun mein tahleel hai khushboo ki tarha

Posted: Fri Sep 30, 2005 7:15 am
by syed bilal armaan
**
HAirat se sare alfaaz usse dekhte rahe
baat'oun mein apni baat ko kaise badal gaya woh

"alfaaz"

Posted: Sun Oct 02, 2005 11:36 am
by Abdullah Nazir



Chand alfaaz se Dhaaras nah bandhi jab dil ko

MaiN ne poochaa wo miraa saath bhii degaa ke nahiN.



Nazir.


Posted: Mon Oct 03, 2005 8:55 am
by syed bilal armaan
Dostoun app ney unwan"LAFZ?/ALFAAZ" par bahut acche ashar likhe. Ab pesh hai ek nay unwan "khushboo "app is unwan par bhi apne pasandida ashar likhiye. ye unwan app naye fourm mein mulaheza kareinge.

SYED BILAL ARMAAN