Page 2 of 3

Posted: Sun Feb 26, 2006 5:33 pm
by MAHROO
khushboo ka jhonka aaya
kya kya tarane laaya

qamar jalaalabadi

khushboo

Posted: Mon May 15, 2006 12:38 pm
by Abdullah Nazir



khushboo-e-zulf-e-yaar thii shaam-e-viSaal meiN

gum hougayaa maiN lazzat-e-deed-e-jamaal meiN.


Shaayer: Abdulah Nazir.


Nazir.


Posted: Tue May 23, 2006 8:43 am
by hassan_bashir
bulbul ki taraH qaid na kar khud ko chaman meiN
"khushbu ki taraH phail gulaaboN se nikal ker"

khushboo

Posted: Tue Jun 06, 2006 11:12 pm
by Abdullah Nazir



khushboo-e-zulf-e-yaar mire bakht meiN kahaaN

daaman meiN bewafaa ne mire khaar bhar diyhe


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Sep 18, 2006 2:43 am
by ummassad
khat main kisi ka naam likha huya nh tha
KHUSHBOO batarahi thi ibaarut usi ki hey

Posted: Sat Sep 01, 2007 6:19 pm
by ummassad
rizwan kiya karoun terey baag e behisht ko.
khushboo nahin hey gaisoo e serkaar ki terha.

Posted: Fri Jan 11, 2008 5:20 am
by Arif Naseem
abhii to hay aghaz us kay safar kaa
hiraa say jo laay thay sarkaar khushboo

Posted: Sat Jan 26, 2008 4:20 pm
by Arif Naseem
wo to khushboo hay hawaawN maiN bikhar jaayga
mas'ala phool ka hay phool kidher jaayga

Posted: Tue Jan 29, 2008 10:05 am
by Ujala Arif
mehek uTha hay aNgan is khabar say
woh khushbuu loT aaii hay safar say

Posted: Sun Feb 17, 2008 7:00 pm
by ummassad
khashboo uada ke laaye hey zulf e negaar se.
mujh ko shikayatain hain naseem e bahaar se.

Re: Lafz par ashar#21--KHUSHBOO

Posted: Sun Jan 31, 2010 7:11 am
by manzar alam
phool ki patti se cut sakta hai heere ka jigar
mard-e-naadaaN par kalaam-e-narm o naazuk be asar

Re: Lafz par ashar#21--KHUSHBOO

Posted: Sun Jan 31, 2010 8:23 am
by sbashwar
دامنِ دل ہے کہ خوشبو سے مہک اٹھا ہے
پھول گلشن کے کسی نے جو بکھیرے گھر میں
عبداللہ ناظرؔ

Re: Lafz par ashar#21--KHUSHBOO

Posted: Sun Jan 31, 2010 11:42 am
by munir-armaan-nasimi
manzar alam wrote:phool ki patti se cut sakta hai heere ka jigar
mard-e-naadaaN par kalaam-e-narm o naazuk be asar
Waah Waah Manzar Alam Saheb.. kya khoob sher hai. Shukriya. Magar Bhai jaan.. hum yahan "Khushboo" kii baat kar rahe hain....... kya hee achcha ho agar aap "Khushboo" lafz pe dher saare ashaar share karein.... Maza Aa Jaayega... !!

aapka apna

Munir Armaan[/b]
muneer armaan nasimi

Re: Lafz par ashar#21--KHUSHBOO

Posted: Sun Jan 31, 2010 11:46 am
by munir-armaan-nasimi
Aaj Kitni Nikhar Gayi Khushboo
Seedhe Dil main Utar Gayi Khushboo

Mere armaan sab hoye uske
Mujhse mil ke Sanwar Gayi Khushboo


[munir armaan nasimi kii ghazal se.........]

Re: Lafz par ashar#21--KHUSHBOO

Posted: Sun Jan 31, 2010 6:03 pm
by manzar alam
munir-armaan-nasimi wrote:
manzar alam wrote:phool ki patti se cut sakta hai heere ka jigar
mard-e-naadaaN par kalaam-e-narm o naazuk be asar
Waah Waah Manzar Alam Saheb.. kya khoob sher hai. Shukriya. Magar Bhai jaan.. hum yahan "Khushboo" kii baat kar rahe hain....... kya hee achcha ho agar aap "Khushboo" lafz pe dher saare ashaar share karein.... Maza Aa Jaayega... !!

aapka apna

Munir Armaan[/b]
muneer armaan nasimi
iske liye maiN ma;zarat KHwaah hooN
janaab muniir armaan nasiimi saHeb!
aap ki GHazal ke ye ash'aar bahut hi KHoob haiN
nacheez ki daad qubuul kareN!
=========================================

matloobah lafz''KHushbu''par she'r Haazir-e-KHidmat hai
raNg pairaahan ka ''KHushbu''zulf lehraane ka naam
mausam-e-gul hai tumhare baam par aane ka naam