Page 2 of 2
Posted: Sat Dec 10, 2005 10:00 pm
by RAUSHNEE
shehr-e-muhabbat hirj ka mausam ahed-e-wafa aur mein
tu tou is basti say khush khush chala gaya aur mein?
Posted: Sun Dec 11, 2005 3:09 pm
by Shummu
aalam-e-soz-o-saaz meiN vasl se baRh ker hai firaaq
vasl meiN marg-e-aarzu, hijr meiN lazzat-e-talab
hijr
Posted: Mon Dec 12, 2005 4:25 am
by Abdullah Nazir
kuch aisaa Haal hei miraa ab hijr-e-yaar meiN
jaise khizaaN kaa agagayaa mausam bahaar meiN.
Nazir.
Posted: Mon Dec 12, 2005 10:07 am
by Shummu
naa taab hijr me.n hai naa aaraam vasl me.n
kamabaKht dil ko chain nahii.n hai kisii tarah
"hijr"
Posted: Fri Dec 16, 2005 3:52 pm
by Abdullah Nazir
Mujhko bhi chain kab hei bhalaa hijr-e-yaar meiN
karwaT badalte kaTti hei shab intizaar meiN
Nazir.
hijr
Posted: Sun Dec 18, 2005 7:06 pm
by Abdullah Nazir
yooN shab-e-hijr tiri yaad ne betaab kiyaa
jaise tuu paas hou aur mere qareeb aa nah sake
Nazir.
hijr
Posted: Mon Dec 19, 2005 12:59 pm
by Abdullah Nazir
hijr kii raat beqaraari hei
neend aati nahiN akelaa hooN.
Nazir,
Posted: Tue Dec 20, 2005 7:02 pm
by RAUSHNEE
hijr
Posted: Tue Dec 20, 2005 8:47 pm
by Abdullah Nazir
khayaal-e-hijr kaisaa vaSl kii shab
mire nazdeek aaou. donouN soucheN.
Nazir.
"hijr"
Posted: Tue Jan 03, 2006 2:52 pm
by Abdullah Nazir
[size-8]
hijr kii raat hei khamoushi hei tanhaayi hei
tum nahiN hou tou miri jaan pah ban aayi hei.
Nazir.
[/size]
Posted: Fri Jan 13, 2006 2:30 am
by ummassad
younhi khatam HIJER ka baab ho naye saal main
koi khowab hi tera khowb ho nya seel main
Posted: Fri Jan 13, 2006 2:35 am
by ummassad
vohi HIJR ka samander vohi aankh main udasi
vohi sardiyoun ki shamain vohi dard ki nishani
hijr
Posted: Tue Feb 28, 2006 1:18 am
by Abdullah Nazir
Jaane tum kis Haal meiN hou mujhko tanhaa chouRkar
kaaT khaati heiN mujhe tou hijr meiN tanhaayiyaaN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.