Page 2 of 4

Posted: Fri Dec 16, 2005 5:23 am
by Waqar Zaidi
rah e hayaat ki taareekiyaan mitain kiyunkar

jalaa rahaa hoon main shamyain bujhaa rahaa hay koi

-------------------------------------------------------------------------------------

ruk gai lab peh aatay aatay hansi

gham khushi say chalak gayaa jaisay

===============================================

ASAK

Posted: Fri Dec 16, 2005 3:29 pm
by ummassad
RANJ SE KHUGER HUA INSAN TU MIT JATA HAI RANJ
MUSHKILAIN ITNI PADIAN MUJH PER KI AASAN HO GAIN

"ray"

Posted: Fri Dec 16, 2005 4:02 pm
by Abdullah Nazir



raqS-e-parvaanah tou zulmat meiN bhi ruk saktaa nahiN

shamA hii kyaa jou kabhi raushan sar-e-meHfil nah hou.



Nazir.


ASAK

Posted: Sat Dec 17, 2005 3:49 pm
by ummassad
RUKH-E- ROUSHAN KE AAGE SHAMA RAKH K WO YE KAHTE HAIN
UDHAR JATA HAI YA DEKHAIN IDHER PARWANA AATA HAI

RANJ SE KHUGER HUA INSAN TU MIT JATA HAI RANJ
MUSKILAIN ITNI PADIAN MUJH PE KI AASAN HOGAIN

ASAAK

Posted: Sat Dec 17, 2005 4:00 pm
by ummassad
ROZE HISAB JAB MERA PESH HO DAFTER -RE- AMAL
AAP BHI SHARAMSAR HO MUJHKO BHI SHARMSAR KAR

Posted: Sat Dec 17, 2005 4:16 pm
by Waqar Zaidi
ruswaa karay gi aur yeh deewaangi mujhay

aayaa jo bay khudi mein khayaal e khudi mujhay

===============================================

rag e sang say tapaktaa woh lahoo keh phir na thamtaa

jisay gham samajh rahay ho yeh agar sharaar hotaa

===============================================

Posted: Sun Dec 18, 2005 10:56 am
by Shummu
raat aaya tha khayal uska meri khilwat mai magar....
chand lamhoN mai magar usne mujhe tanhaa kardya

Posted: Sun Dec 18, 2005 5:14 pm
by Waqar Zaidi
rukh e raushan peh zulfain hain prishaan

keh pooraa chaand gehnaayaa huaa saa

===============================================

rang o boo nay bhi saath chhorh diya

raftah raftah tamaam phooloon kaa

===============================================

raftah raftah ho chali thi dil ko kuchh taskeen si

phir tasawwur mein koi aa aa kay tarhpaanay lagaa

*************************************************************

"ray"

Posted: Sun Dec 18, 2005 7:12 pm
by Abdullah Nazir



raaHat-e-dil hougaie jab nazr-e-ummeed-e-karam

ibtilaay-e-shauq ko aaraam-e-jaaN kehnaa paRaa.



Nazir.


Posted: Sun Dec 18, 2005 7:47 pm
by Shummu
rone waalon se kaho un ka bhi rona ro len
jin ko majboori-e-halaat ne rone na diya

Posted: Sun Dec 18, 2005 9:41 pm
by Waqar Zaidi


rah e gham mein kaantay hon jab har qadam par

kahaan tak koi apnaa daaman bachaayay

-------------------------------------------------------------------------------------

raushan thaa aasmaan to zameen kisht e zaafraan

day do miri zameen miraa aasmaan mujhay

*************************************************************

Posted: Sun Dec 18, 2005 9:49 pm
by RAUSHNEE
bus yonhi yaad aa gaya yeh sher


Ranjish he sahi....Dil he dukhanay k leye aa
aa phir say mujhe chhor k janay k leye aa

"ray"

Posted: Mon Dec 19, 2005 12:28 pm
by Abdullah Nazir



raaz-e-dil-e-naashaad sunaane ke liye aa

ik shab ke liye hansne hansaane ke liye aa.




Nazir,


Posted: Tue Dec 20, 2005 5:19 am
by Waqar Zaidi
raigzaar e zeest mein saayah tairi yaadoon kaa hay

dhoodtaa hoon har qadam par tairay qadmoon kay nishaan

===============================================

Posted: Wed Dec 21, 2005 6:15 am
by Waqar Zaidi
raah e dushwaar mein saabit qadami hay laazim

azm e muhkam ho to manzil abhi aasaan ho jaayay

===============================================

ranj kay baad khushi paa kay tujhay kia maaloom

mairaa kiaa haal ho aay dost mujhay kia ho jaayay

===============================================