Page 2 of 2

"zey"

Posted: Mon Jan 23, 2006 11:54 am
by Abdullah Nazir



zameeN thrraake reh jaaye, falak meHshar badaamaan hou

magar dekhaa hei kis ne mere naalaoN kaa rasaa hounaa.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Jan 30, 2006 6:58 pm
by ummassad
zindnioun ne toord diya zulm ka ghuroor
woh dabdabh woh roob.e.hukoomat kahan hey aaj

Posted: Mon Jan 30, 2006 6:59 pm
by ummassad
zinda hohn magar zeest ki lazat nahi baqi
her chand kh hoon hoosh main hushyaar nahi houn

Posted: Tue Jan 31, 2006 3:45 am
by Hashmat Usmani
zindagii tujh ko jiyaa hai koii afsos nahiiN
zahr Khud maiN ne piyaa hai koii afsos nahiiN


Sudarshan Faakir

Posted: Thu Feb 09, 2006 5:06 pm
by Daanish
zindagi hum se tere naaz uThaaye na gaye
saaNs lene ki faqat rasm ada karte haiN

Posted: Mon Feb 13, 2006 9:01 pm
by ummassad
zamana aaya hy be hijabi ka aam deedar.e.yaar hoga
sukoot tha pardadar jiska vo raaz ab aashkaar hoga

"se"

Posted: Thu Feb 23, 2006 3:09 am
by Abdullah Nazir



zameeN tharrake rehjaaye falak meHshar badaamaaN hou

magar dekhaa hei kis ne mere naalaoN kaa rasaa hounaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir,


Posted: Tue Feb 28, 2006 7:35 am
by ummassad
zakm ger deb gaya lahu na thama
kaam ger ruk gya rava na hua

sey

Posted: Tue Feb 28, 2006 8:05 pm
by Abdullah Nazir



zeest ko fikr keh TooTe nah miraa taar-e-nafas

marg chaahe hei mujhe apne acar meiN rakhnaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun Mar 05, 2006 7:09 pm
by ummassad
zindagi muzmir hy teri shouki.e.tahreer main

taab.e.goaye se jumbish hy lub.e.tasveer main

"ze"

Posted: Sun Mar 19, 2006 5:40 am
by Abdullah Nazir



zindagi bhar nah milaa daaman-e-alTaaf o karam

tum se mujhko yeh shikaayat kisi pehloo nah houi.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Mar 25, 2006 6:02 pm
by ummassad
zinda houn mager zeest ki lazat nahi baaqi
her chand ke houn hoosh main housyar nahin houn

"zay"

Posted: Tue Mar 28, 2006 1:33 am
by Abdullah Nazir
[size-18][color-blue]


zindgaani ke masaayhil ki Haqeeqat kyaa kahooN

teri zulfaoN ki TaraH uljhaa kiye suljhaa kiye.


Shaayer: Abdullah Nazir.

[/color]
Nazir.

[/size]

"zay"

Posted: Tue Mar 28, 2006 1:35 am
by Abdullah Nazir
[size-18][color-blue]


zindgaani ke masaayhil ki Haqeeqat kyaa kahooN

teri zulfaoN ki TaraH uljhaa kiye suljhaa kiye.


Shaayer: Abdullah Nazir.

[/color]
Nazir.

[/size]