maah-e-FEB ke muntakhib shaayar: WASI SHAH

Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

"Last Call"

Kal hamesha ki tarha uss ney kaha ye fone par
mein buhut masroof hoon mujh ko buhut sey kaam hain

iss liye tum aao milney mein tou aa sakti nahi
har riwayat toRh kar iss baar mein ney keh diya

tum jo ho masroof mein bhi buhut masroof hoon
tum jo ho mash'hoor tou mein bhi buhut maroof hoo

tum agar ghamgeen hoo mein bhi buhut ranjoor hoo
tum thakan sey choor tou mein bhi thakan sey choor hoon

jan-e-man hai waqt mera bhi buhut hi qeemti
kuch puraney dostoon ney milney ana hai abhi

mein bhi ab farigh nahi mujh ko bhi lakhon kaam hain
warna kehney ko tou sab lamhey tumharey naam hain

meri aankhein bhi buhut bojhal hain sona hai mujhey
rat'jagoN key baad ab neendoN mein khona hai mujhey

mein lahoo apni anaoo ka baha sakta nahi
tum nahi aati tou milney mein bhi aa sakta nahi

uss ko ye keh kar wasi mein ney reciever rakh diya
aur phir apni ana key paaon pey sar rakh diya.
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Sumandar mein uturta hoon tu aankhein bheeg jaati hain
Teri aankhon ko parhta hoon tu aankhein bheeg jati hain

Tumhara naam likhney ki ijaazat chin gai jub se
Koi bhi lafz likhta hoon tu aankhein bheeg jati hain

Naa jaaney ho gaya iss qadar hassaas mein kub se
Kissi se baat karta hoon tu aankhein bheeg jati hai

Woh sub guzrey huey lumhaat mujhko yaad atey hain
Tumharey khut jo parhta hoon tu aankhein bheeg jaati hain

Mein saara din buhut masroof rehta hoon magar joonhi !!
Qadam chaukhut pe rakhta hoon tu aankhein bheeg jaati hain

Hazaaron mausumon ki hukmaraani hai merey dil pur
Wasi mein jub bhi hansta hoon tu aankhein bheeg jaati hain
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Meri Ankhoon Kay SAmandar main Jalan kaisi Hai
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaisi Hai

Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaisi Hai

Baraf Kay Roop Main dhaal Jain Gay Saray Rishtay
Mujh say Pocho Kay Muhabbat Main Agan kaisi Hai

Main Teray Wisal Ki Khuwahish Ko na Marnay Doon Ga
Mausam-e-Hijar Kay lehjay Main Takan Kaisi Hai

Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kantoon Ki RiDa
Uss Ki Majboor Sii Ankhoon Main Kiran Kaisi hai

Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
ussay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

udaas raaton mien tez coffee ki talkhiyon mien,
wo kuch ziyada hi yaad ata hai sardiyon mien,

mujhey ijazat nahin hai us ko pukaarney ki,
jo goonjhta hai lahu mien,seeney ki dharkanon mien,

wo bachpan jo udaas rahon mien kho gaya tha,
mien dhondta hun usey tumhari sharartoun mien,

usey dilasey to dey raha hun magar ye such hai,
kahien koi khuaf bardh raha hai tassaliyon mien,

tum apni pouron sey janey kia likh gaye thay jana,
charagh roshan hain ab bhi meri hatheliyon mien,

jo tu nahin hai to ye mukamal na ho sakiengien,
teri yehi ehmiyat hai meri kahaniyon mien,

mujhey yaqeen hai wo thaam ley ga bharam rakhey ga,
ye maan hai to diye jalaye hain andhiyon mien,

har ik mausam mien roshni si bekhairtey hain,
tumharey ghum key charagh meri udasiyon mien.
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

...
Attachments
na%20karna.jpg
na%20karna.jpg (46.11 KiB) Viewed 308 times
Post Reply