Page 2 of 5
seen
Posted: Wed Feb 08, 2006 3:34 am
by Abdullah Nazir
soune deti hei kahaaN chashm-e-shararbaar mujhe
hqy' gaisoo mire chehre pah bikhar jaane do.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Feb 09, 2006 3:35 am
by Daanish
sab pe, jis baar ne giraani ki
us ko yeh natawaaN uThhaa laaya--Meer
Posted: Thu Feb 09, 2006 6:27 am
by Daanish
sab ke haaN tum hu'e karam farma
is taraf ko kabho, guzar na kiya--Mir Dard
Posted: Thu Feb 09, 2006 6:35 am
by Daanish
sar gazisht apni, kis andoh se shab kehta thha?
so gaye tum, na suni aah! kahaani us ki--Meer
Posted: Fri Feb 10, 2006 3:59 am
by ummassad
sun tu sahi jahan main hy tera fasana kya
kahti hy tujh ko kleq-e-khuda gayebana kya
"seen" se
Posted: Fri Feb 10, 2006 4:35 am
by Abdullah Nazir
sazaay-e-hijr mili hei tou gham nahiN mujhko
maiN dil meiN shamA-e-muHabbat jalaaye rakhkhungaa.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Fri Feb 10, 2006 2:00 pm
by Daanish
saadgiha-e-tamanna, yani
phir woh nairang-e-nazar yaad aaya--Ghalib
"seen"
Posted: Sat Feb 11, 2006 2:15 pm
by Abdullah Nazir
sangdil tujh saa nahiN koii zamaane bhar meiN
saaya-e-zulf se bhi kardiyaa meHroom mujhe.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Feb 12, 2006 11:04 am
by Daanish
sab raqeeboN se hoN na khush par zanaan-e-Misr se
hai Zulaikha khush, ke mahv-e-maah-e-Ka'naaN ho gayiiN--Ghalib
seen
Posted: Mon Feb 13, 2006 1:46 pm
by Abdullah Nazir
such hei dunyaa meiN muHabbat kaa bharousah na rahaa
koiee hamraah nahiN aayegaa roune ke liye.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Feb 13, 2006 6:30 pm
by ummassad
safeena barg-e-gul banalega moor-e- natawan ka
hazaar moujoun ki ho kashakash magar yh darya ke paar hoga
Posted: Tue Feb 14, 2006 12:37 pm
by Daanish
sune jaate na thhe tum se mire din raat ke shikwe
kafan sarkao, meri buzubaani dekhte jaao--Faani
""seen"
Posted: Tue Feb 14, 2006 1:53 pm
by Abdullah Nazir
saaqi kii ik nigaah ne mastiy-e-umr bakhsdi
jaane kidhar ko rind ne, baadah o jaam, rakhdiyaa.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Feb 14, 2006 4:22 pm
by Daanish
saaz aahista zara gardish-e-jaam aahista
jaane kya aaye nigaahoN ka payaam aahista--Makhdoom Mohiuddin
"seen"
Posted: Tue Feb 14, 2006 11:20 pm
by Abdullah Nazir
saaya afgan thii tumhaari ghamgusaari is TaraH
khaarzaar-e-zindagi ko gulsitaaN kehnaa paRaa.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.