Page 2 of 5
Posted: Sat Feb 11, 2006 11:54 am
by Shummu
Woh aag hai ke meri paur paur jaltee hei
mere badan ko mila chanaar ka mausam
- parveen shakir
aatish
Posted: Sat Feb 11, 2006 2:04 pm
by Abdullah Nazir
aatish-e-shauq meiN jaltaa rahaa maiN jiske liye
aek AarSah houaa soorat nah dikhaayi us ne.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Feb 12, 2006 4:39 am
by Daanish
maiN adam se bhi paray huN warna ghaafil! baarha
meri aah-e-aatisheeN se baal-e-anqa ja gaya--Ghalib
Posted: Mon Feb 13, 2006 9:40 pm
by ummassad
shama ne ser py rakhi aag khasam khane ko
bakhuda mainne jalaya nahi parwane ko
Posted: Tue Feb 14, 2006 2:33 am
by Daanish
khwaahi ke raushanat shawad ehwaal-e-sirr-e-ishq
az shama purs qissa, ze baad-e-sabaa mapurs--Haafiz-e-Shiraazi
(tarjuma: agar tau chaahta hai ke ishq ke raaz tujh par raushan ho jaye/ shama se qissa pooch, baad-e-sabaa se na poochh)
Posted: Tue Feb 14, 2006 12:25 pm
by Daanish
vaez, aatish-e-dozakh se jahaaN ko tumne
yeh Daraaya hai ke khud ban gaye Dar ki soorat--Altaaf Hussain 'Haali'
Posted: Wed Feb 15, 2006 5:46 pm
by ummassad
aaj bhi ho jo ibraheem sa imaan pyda
AAG ker sakti hy andaaz.e.gulistaan pyda
Posted: Thu Feb 16, 2006 1:54 am
by Daanish
dil meiN zauq-e-wasl-o-yaad-e-yaar tak baaqui nahiN
aag is ghar meiN lagi aisi ke jo thha, jal gaya--Ghalib
aag
Posted: Thu Feb 16, 2006 2:27 am
by Abdullah Nazir
ishq ki Sabr aazmaayi aajkal hei auj per
aag lag jaati hei dil meiN jab wo kehtaa hei 'nahiN'.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
aag
Posted: Sun Feb 19, 2006 2:27 am
by Abdullah Nazir
ThoukareN khaake bhii aayaa nah sanbhalnaa mujhko
jaane kab tak hei isi aag meiN jalnaa majhko.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
aag
Posted: Sun Feb 19, 2006 2:55 pm
by Abdullah Nazir
mujhko ehsaas-e-gham-e-dil kaa patah chaltaa hei
apni hii aag meiN jal jaate hei jab taazah gulaab.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
aag
Posted: Sun Feb 19, 2006 3:05 pm
by Abdullah Nazir
phool se heiN lab tere aag saa badan teraa
Dar hei teri qurbat meiN, jal nah jaaye parwaanah.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
aatish
Posted: Mon Feb 20, 2006 3:43 am
by Abdullah Nazir
Itni qurbat hei ke deewaanah houaa jaataa hooN
Dar hei jal jaayeN nah ab aatish-e-rukhsaar se haath.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Feb 20, 2006 10:08 am
by Shummu
aab-o-aatish se yeh Khamiir-e-chaman,
hai KhizaaN ya bahaar hai? kya hai?
aatish
Posted: Mon Feb 20, 2006 8:18 pm
by Abdullah Nazir
uff re aatish-kada-e-surkhi-e-lab kaa Aalam
door hooN tum se magar meraa badan jaltaa hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.