Page 2 of 3
"sheen"
Posted: Sun Mar 19, 2006 4:23 am
by Abdullah Nazir
shaam-e-hijraaN mujhe jooN shamA jalaataa kiyuN hei
gham ke maare houe insaaN ko sataataa kiyuN hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Mar 19, 2006 10:03 am
by zmufti
shaam-e-Gam kuchh us nigaah-e-naaz kii baate.n karo
beKhudii ba.Dhatii chalii hai raaz kii baate.n karo
"sheen"
Posted: Mon Mar 20, 2006 3:36 am
by Abdullah Nazir
shaam-e-gham yaa SubH-e-ishrat dounoN yaksaaN heiN mujhe
imtiHaan-e-gardish-e-dauraaN samajh meiN aagayaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"sheen"
Posted: Sat Mar 25, 2006 1:21 pm
by Abdullah Nazir
[size-18]
shareek-e-anuman koii nah hou tou
sunenge kyaa dar o dewwar imshab.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
[/size]
"sheen"
Posted: Mon Mar 27, 2006 1:42 am
by Abdullah Nazir
shab-e-gham yeh kis ne tajalli dikhaayi
mujhe chaudhweeN kaa qamar yaad aayaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Mar 28, 2006 3:59 am
by ummassad
subhaat ki khaleej bhi kuch darmian rahi
kuch fasloun ko badh ke ghataya na hum ne bhi
"sheen"
Posted: Wed Mar 29, 2006 3:19 am
by Abdullah Nazir
shiddat-e-dard o alam se be-qaraari hi sahi
jo bhi hounaa hei wo hougaa zakhm kaari hi sahi.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"sheen"
Posted: Wed Mar 29, 2006 6:05 pm
by Abdullah Nazir
shaam-e-viSaal hei nah hii SubH-e-jamaal hei
yuN gardish-e-zamaanah ke zer-e-qadam houe.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Apr 16, 2006 11:54 am
by Daanish
Shubah Naasikh nahiN kuchh Meer ki ustaadi meiN
aap bebehra hai jo mu'ataqid-e-Meer nahiN-Naasikh
"sheen"
Posted: Tue Apr 18, 2006 1:35 am
by Abdullah Nazir
sheAr be-saakhtah aate gaye lab per Nazir
warnah alfaaz ke mouti they pirone ke liye.
Shaayer: Abdullah Nazir.
{/color]
Nazir.