Page 2 of 3
sheAr
Posted: Mon Mar 20, 2006 1:20 pm
by Abdullah Nazir
MeHfil-e-sheAr o sukhan meiN hei taHayyur Nazir
jaise zehnaoN peh musallaT hou kaRi khaamoushi.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Mar 21, 2006 1:11 am
by ummassad
gazal usne chedi mujhe saaz dena
zara umr.e rafta ko aawaz dena
sheAr
Posted: Tue Mar 21, 2006 6:13 am
by Abdullah Nazir
gham ke maaraoN ki zabaaN shoAla-e-javvalah bani
zeenat-sheAr-o-sukhan be-hunari hou jaise.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"allah"
Posted: Fri Mar 24, 2006 8:53 am
by Abdullah Nazir
allah lllah re yeh naaz o adaa meHfil meiN
teri her baat utar jaaye hei seedhe dil meiN.
tero/meiN
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Jan 16, 2007 6:47 am
by hassan_bashir
mazaa kalaam ka bazm-e-sukhan-varaa meiN hai
k chaaNd ujaRe gharoN ki chhatoN pe kyaa nikale
sheAr
Posted: Wed Jan 17, 2007 4:26 pm
by Abdullah Nazir
"shaayer tou hei vohi keh jo fiTrat nigaar hou
jis ke her aek sheAr peh dil beqaraar hoiu".
Shaayer: Talib Razzaqi. Hyd.
Nazir.
sukhan
Posted: Mon Jan 22, 2007 4:46 am
by Abdullah Nazir
sukhan-Taraazi-e-maaHaul ko tarastaa hooN
suroor o kaif thaa bazm-e-sukhan meiN rehne tak.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
ghazal
Posted: Tue Jan 23, 2007 5:14 am
by Abdullah Nazir
saayah parwardah hooN oos bazm-e-sukhan kaa :Nazir:
jis meiN mushshaatagi-e-Husn-e-ghazal houtee thee.
Shaayer: Abdujllah Nazir.
Nazir.
meHfil`
Posted: Wed Jan 24, 2007 12:38 am
by Abdullah Nazir
suroor-e-jaam-e-ulfat se thee bekhud raat bhar meHfil
mizaaj-e-shamA kee taa'eed jab parwaanah le aayaa.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Jan 24, 2007 6:24 pm
by hassan_bashir
hai mashq-e-suKhan jaarii chakkii kii mushaqqat bhii
ek turfaa tamaashaa hai "Hasrat" kii tabiiyat bhii
Posted: Mon Apr 30, 2007 5:11 pm
by ummassad
khulta kisi pe kyun mery dil ka maamila
shairoun ke intikaab ne ruswa kiya mujhey.
Posted: Tue Jul 24, 2007 2:42 am
by ummassad
hain awr bhi duniya main sukhanver bahout acchey.
kahtey hain ki galib ka hey andaaz e baiyan awr.
Posted: Thu Jul 26, 2007 2:24 pm
by balvinder
'meer' ke aNdaaz par kisne ghazal likkhii ''hafiiz''
mujhko zebaa hai agar is baat ka daava karooN
''hafiiz'' jaunpuri
Posted: Sat Jul 28, 2007 12:21 am
by rukhsar
hay tamanna harf -e gham laykar tamaam
ek GHAZAL main meer say baatyN karaiN
...............
rukhsar
Posted: Sat Jul 28, 2007 12:23 am
by rukhsar
zindgi say jab mohabbat he nahi
SHER phir kis kay liay kahtay hain aap
......................
rukhsar