Page 2 of 5
tasveer par ek she'er.
Posted: Sun Mar 26, 2006 9:47 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Be khud aesa hooN kisee ki lazzat-e-taqreer se
pehrooN karta hooN khamoshee ka gila taSveer se.
Posted: Mon Mar 27, 2006 10:14 am
by Shummu
wujood-e-zann se hei tasweer-e-kainaat main rang
usei k sauz se hei saaz-e-zindagi ka duroon
iqbal
TaSweer par she'er.
Posted: Mon Mar 27, 2006 9:38 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
gar woh naheeN aa sakte yahaaN tak to bala se
la kar koi un ki mujhe taSweer dekha do.
(Ustaad Zaoq)
"taSveer"
Posted: Tue Mar 28, 2006 5:23 am
by Abdullah Nazir
dekhkar paivast dil meiN aapki taSveer ko
intezaar-e-vaSl meiN kaTte heiN mere rouz o shab.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
taSveer
Posted: Wed Mar 29, 2006 3:15 am
by Abdullah Nazir
dekhtaa hooN jo use, dekhtaa reh jaataa hooN
uski taSveer se behtar koii taSveer nahiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"taSveer"
Posted: Thu Mar 30, 2006 3:24 am
by Abdullah Nazir
[color-blue]
taSveer teri rehgayi yooN khaana-e-dil meiN
jaise keh shehr-e-aagrah meiN taaj maHal hou.
Shaayer: Abdullah Nazir.
[/color]
Nazir.
Aadab.
Posted: Fri Mar 31, 2006 8:35 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
jahaaN meN qabil-e-taoqeer hooN maiN
keh apne yar kee taSveer hooN maiN.
(kalam a'alvi)
aadaab.
Posted: Fri Mar 31, 2006 8:44 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
bata do kaon mujh meN bolta hai
agarcheh khak ki taSveer hooN maiN.
(a'alvi)
Re: "taSveer"
Posted: Fri Mar 31, 2006 8:47 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
WEBMASTER wrote:
qismat ko ro'uN yaa tiri ghaflat kaa gham karuN
tuu bhii nahiN hei aur tiri taSveer bhi nahiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
moHtaram Nazir SaHeb.
aadaab.
aap ka she'er be Had pasand aaya. kiya kehne.
wassalam
muzaffar
Re: "taSveer"
Posted: Fri Mar 31, 2006 8:50 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
WEBMASTER wrote:[color-blue]
taSveer teri rehgayi yooN khaana-e-dil meiN
jaise keh shehr-e-aagrah meiN taaj maHal hou.
Shaayer: Abdullah Nazir.
[/color]
Nazir.
moHtaram Nazir SaHeb.
aadaab.
aap ka she'er dil le geya. kiya kehne.
wassalam
muzaffar
"taSveer"
Posted: Sat Apr 01, 2006 9:59 am
by Abdullah Nazir
fum Sum hou tum bhi bazm meiN jaise Sanam koii
maiN bhi khamoush hooN kisi taSveer ki TaraH.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Re: "taSveer"
Posted: Sat Apr 01, 2006 10:50 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
WEBMASTER wrote:
gum Sum hou tum bhi bazm meiN jaise Sanam koii
maiN bhi khamoush hooN kisi taSveer ki TaraH.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
moHtaram Nazir SaHeb
tasleeb.
waah Huzoor kiya kehne.
wassalam
muzaffar
TaSweer par she'er.
Posted: Sat Apr 01, 2006 10:56 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
a'rZ^ kiya hai.
pehle to aek SafHah-e-sada tha aae'nah
dekha jo us nigaar ne taSveer ho geya.
gardish rahi hazaar zubaaN se nah uf karooN
maiN laGhari se khamah-e-taSveer ho geya.
ameer minai.
wassalam
muzaffae
TaSweer par she'er.
Posted: Sat Apr 01, 2006 11:00 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
manzil-e-Haerat ka t^e karna bohot dushwaar hai.
par kab hoti hai kashti qulzam-e-taSveer se.
wassalam
muzaffar
taSweer par she'er.
Posted: Sat Apr 01, 2006 11:03 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
aor yeh she'er dekhiye.
daGh-e-sena daGh-e-pehlo zakh-e-dil dard-e-gigar
kese kese hamnasheeN bujh ko mile taSveer se
wassalam
muzaffar