Page 2 of 3
zabaan
Posted: Tue Apr 25, 2006 12:17 pm
by Abdullah Nazir
baat nikli jo bewafaayi kii
naam teraa zabaan per aayaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
zubaan par she'er
Posted: Tue Apr 25, 2006 12:56 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
yeh dastoor-e-ZUBAANbandee hai kesa teree meHfil meN
yahaaN to bat karne ko tarastee hai ZUBAAN meree.
(iqbal)
Zabaan
Posted: Wed Apr 26, 2006 1:56 pm
by Abdullah Nazir
sitam aur us peh khamoushi kaa Hukm ai Sayyad
zabaaN taRapti rahegi dahan meiN rehne tak.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Apr 27, 2006 7:31 pm
by zmufti
ham ne baKhshii hai Khamoshii ko zubaaN
dard majabuur-e-fuGaaN thaa pahale
zabaan
Posted: Sat Apr 29, 2006 5:48 am
by Abdullah Nazir
miri zabaaN ne tire waSf-e-Husn ki khaaTir
bahaay-e-lafz o bayaaN baanT di hei meHfil meiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sat Apr 29, 2006 7:25 pm
by zmufti
kiije bayaa.N suruur-e-tap-e-Gam kahaa.N talak
har muu mere badan pe zabaan-e-sipaas hai
"zabaan"
Posted: Sun Apr 30, 2006 4:58 am
by Abdullah Nazir
unke labaoN ki pyaas kaa soojhaa nah kuch ilaaj
achcha houaa lagaa nahiN chaskaa zabaan ko.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Apr 30, 2006 3:44 pm
by ameen
maslahat-e-khamoshi kis zabaaN mei hai?
aur bhi zabaaN rakhte ek zabaaN ke siwa
"zabaan"
Posted: Mon May 01, 2006 1:51 am
by Abdullah Nazir
b]
Vohi lazzat hei us bouse ki ab tak
labaoN per phertaa hooN maiN zabaaN ko.
Shaayer: Mumin.
Nazir.
[/b]
zabaan
Posted: Mon May 01, 2006 4:05 am
by Abdullah Nazir
mat pooch mujh se lazzat-e-aazadiy-e-sukhan
jab houNT us ne rakhdiye meri zabaan per.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"zabaan"
Posted: Tue May 02, 2006 3:27 pm
by Abdullah Nazir
"Haal-e-dil-e-beemaar nahiN ZabT ke qaabil
lekin wo zabaaN mujhko hilaane nahiN dete".
Shaayer: namaAloom.
Nazir.
zabaan
Posted: Fri May 05, 2006 3:18 am
by Abdullah Nazir
chale jaane do bazm-e-doustaaN se
nikal jaaye nah kuch meri zabaaN se
Shaayer: Abdullah Nazir
Nazir.
"zabaan"
Posted: Fri May 05, 2006 3:46 am
by Abdullah Nazir
jo aarzoo-e-dil thi AayaaN houke reh gayi
kya poochte ho walwale meri zabaan ke
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"zabaan"
Posted: Sun May 07, 2006 10:19 am
by Abdullah Nazir
dekhaa tha unke hounTaoN ko larzaaN shab-e-viSaal
tab se hei boo-e-gul si hamaari zabaan per
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Aug 28, 2006 12:10 pm
by Daanish
soorat-e-shama huN har chand faroGh-e-mehfil
baat karne nahiN paata ke zabaaN kaTti hai--Aatish