Page 2 of 3
Posted: Wed May 24, 2006 10:18 am
by hassan_bashir
terii Khvaahish aur is qadar Khvaahish
wajah-e-haasil sahii junuuN bhii hai
junooN
Posted: Thu May 25, 2006 3:25 am
by Abdullah Nazir
"Mire junooN ki salaamat rahe anaa jis ne
tire baghair bhi jeenaa sikhaadiyaa hei mujhe".
Shaayer: Shaayer Lucknawi.
Nazir.
deewaanagi
Posted: Thu May 25, 2006 3:52 pm
by Abdullah Nazir
"Deewaanagi-e-shauq ko yeh dhun hei in dinoN
Ghar bhi ho aur be dar o deewaar saa bhi ho."
Shaayer: Nasir Kazimi.
Nazir.
JunooN
Posted: Sat May 27, 2006 12:54 am
by Abdullah Nazir
b]
"JunooN aurahl-e-junooN ka wo qaHT hei Taabish
uThaa nah dasht se phir koii naAra-e-yaa hoo."
Shaayer: Taabish Dehlawi
Nazir.
[/b]
JunooN
Posted: Mon May 29, 2006 4:18 pm
by Abdullah Nazir
Junoon-e-shauq ne jeene diyaa sukooN se kahaN
rah-e-wafaa meiN liyaa dil ne imtihaaN meraa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon May 29, 2006 5:40 pm
by zmufti
junuun-e-shauq ab bhii kam nahii.n hai
magar vo aaj bhii barham nahii.n hai
Junoon
Posted: Mon May 29, 2006 7:24 pm
by Abdullah Nazir
junoon-e-mshq-e-sukhan kaa Ajeeb Aaalam hei
jo apne dil peh guzarti hei keh rahaa hooN maiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Junoon
Posted: Mon May 29, 2006 7:25 pm
by Abdullah Nazir
junoon-e-mshq-e-sukhan kaa Ajeeb Aaalam hei
jo apne dil peh guzarti hei keh rahaa hooN maiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue May 30, 2006 9:15 am
by hassan_bashir
kuChh kam hi ta'lluq hai muhabbat ka junuuN se,
diivaane to hote haiN banaaye nahiiN jaate!
bekhudi
Posted: Fri Jun 02, 2006 4:10 am
by Abdullah Nazir
wo agar parde meiN hei taSveer uski dekh looN
bekhudee meiN chand lamHe houshiyaari hi sahi"
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Jun 05, 2006 6:41 pm
by zmufti
hazaar bekhudi-e-shauq ho.n magar 'taskeen'
Khud apane dil kaa fasaanaa mai.n kis tarah bhuuluu.N
JunooN
Posted: Mon Jun 05, 2006 11:35 pm
by Abdullah Nazir
dasht navard ko na de daAwat-e-sair-e-gulsitaaN
housh o khirad ke daam se door bahut junooN houaa
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
junoon
Posted: Thu Jun 08, 2006 8:58 pm
by Abdullah Nazir
junoon-e-muHabbat meiN thaa housh kis ko
khule zakhm yaa chaarahgar yaad aayaa
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Fri Jun 09, 2006 11:33 am
by ummassad
koi aiy shakeel puchey yeh junoon nahi tu kiya hey
kh usi ke ho gaiye hum jo nh hosaka hamhra
JunooN
Posted: Sat Jun 10, 2006 11:56 am
by Abdullah Nazir
housh o khirad ki dunyaa meiN kab zour-e-muHabbat chaltaa hei
aa'ou ham dounoN milkar ik dasht-e-junooN aabaad kareN
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.