Page 2 of 2

Posted: Fri Aug 25, 2006 3:17 am
by ummassad
zoye

Posted: Wed Sep 20, 2006 12:29 pm
by Shummu
zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bohut thii
majboor the ham,us se muhabbat bhii bohut thii

Posted: Wed Sep 20, 2006 2:46 pm
by zmufti
zulmat_kade me.n mere shab-e-Gam kaa josh hai
ik shammaa hai daliil-e-sahar, so Khamosh hai

Posted: Tue Nov 14, 2006 4:40 am
by Abdullah Nazir



Talab-e-jahaaN bhe fuZool hei agar iAtibaar-e-jahaaN nahiN

magar itnaa kis ko hei HauSalah yeh baRe waqaar ki baat hei.


Shaayer: ( Abdullah Nazir )



Nazir.


Posted: Fri May 04, 2007 3:25 am
by ummassad
zabt kerta houn tu aata hey kaleeja muh ko .
aah kerta houn tu phir shouq ki ruswayi hey .

Posted: Mon May 07, 2007 7:15 pm
by ummassad
toofan ki aawaz tuu aati nahin lakin.
lagta hey safeeney se kahin doobrahey hain

Posted: Wed Jun 13, 2007 6:36 pm
by zmufti
Ta'ana zan tha har koi ham par dil-e-nadaan samait
ham ne choRa shahr-ruswaaii dar-e-jaanaaN samait

Posted: Sun Jun 17, 2007 5:06 pm
by zmufti
zulmat-e-shab me.n ujaalo.n kii tamannaa na karo
Khvaab dekhaa hai to ab Khvaab ko rusvaa na karo

Posted: Mon Jun 18, 2007 5:33 am
by Ibn-e-siddique
tae kar chukaa hooN raah-e-moHabbat ke mar'Halay
is se zyaadah Haajat-e-shar'H-o-bayaaN nahiN

Posted: Wed Jun 20, 2007 9:30 am
by Ibn-e-siddique
talab jis ki sadiyoN se thi zindagi ko
voh soz us ne paaya inhiN ke jigar meiN

Posted: Thu Jun 21, 2007 4:02 pm
by zmufti
tay hoNge kis tarah ye maraahil kahaa na jaa_e
is tiiragii meN kyaa hai muqaabil kahaa na jaa_e

Posted: Mon Jun 25, 2007 5:10 am
by Ibn-e-siddique
zulmat-e-shikva-e-shab se to kahiN behtar tha
apne Hissay ki koi sham'a jalaate jaate

Posted: Tue Jun 26, 2007 6:40 pm
by zmufti
zulmat_kade meN mere shab-e-Gam kaa josh hai
ik shammaa hai daliil-e-sahar, so Khamosh hai