Dear Sara ji,sara_j wrote:Yunhi dhundlaaye rahein akse dil-o-jaan kab tak
meri palkon pe rahe ashk ye larzaaN kab tak
waah bohat khoobsurat matla, bohat hi khoob!
ab ye tanhaii ke pataal mein thakne lagi hai
dil ke kaaghaz pe teri yaad ho raqsaaN kab tak
bohat khoob! doosra misra bohat pasand aaya
jaane shakhon pe mero phool khilein ya na khilein
titliyon ko rakhun humraah pareshaaN kab tak
bohat khoobsurat shair!
mauje khushbu bhi tou guzre kabhi mere ghar se
gham hi aangan mein rahe khu-e-kharamaan kab tak!
very nice.
meri souchon ke sire hii na milein jab tujh se
tou jalegi ye meri shamae eeqaaN kab tak
bohat khoob!
ab nami rehti hai aankhon mein musalsal us ke
toRh ker mujhko na hota vo pashemaaN kab tak
bohat khoob!
main na houngi tou koii aur chala aayega
rakhega apna voh dil aise veeraaN kab tak
waah!
chat-ti jaaye mere haathon se tanaabe umeed
main teri raah bhi dekhun tou meri jaan kab tak
bohat khoob!
subah ke narm ujaale bhi tou utrein :Naheed:
shaam ke rang hi oRhe dil-e-veeraaN kab tak
bohat khoob bohat khoob!
Naheed ji aapki ye tarahee ghazal tou bohat alaa hai khusoosan matla aur sab hi ashaar lajawaab hain.
bohat saari dad aur mubarakbaad qubool keejiye.
sara
salaam,
shaayad aap ne pehli baar meree kisi kaavish par itna tafSeel se her she'r par daad dee hai, aur iss ke liye meraa dhairoN dhair shukriya qubool kijiye :)
mukhlis
Naheed