Page 2 of 2

Posted: Sun Jan 30, 2005 4:44 am
by naheedv
sara_j wrote:Yunhi dhundlaaye rahein akse dil-o-jaan kab tak

meri palkon pe rahe ashk ye larzaaN kab tak


waah bohat khoobsurat matla, bohat hi khoob!

ab ye tanhaii ke pataal mein thakne lagi hai

dil ke kaaghaz pe teri yaad ho raqsaaN kab tak


bohat khoob! doosra misra bohat pasand aaya

jaane shakhon pe mero phool khilein ya na khilein

titliyon ko rakhun humraah pareshaaN kab tak


bohat khoobsurat shair!

mauje khushbu bhi tou guzre kabhi mere ghar se

gham hi aangan mein rahe khu-e-kharamaan kab tak!


very nice.

meri souchon ke sire hii na milein jab tujh se

tou jalegi ye meri shamae eeqaaN kab tak


bohat khoob!

ab nami rehti hai aankhon mein musalsal us ke

toRh ker mujhko na hota vo pashemaaN kab tak


bohat khoob!


main na houngi tou koii aur chala aayega

rakhega apna voh dil aise veeraaN kab tak

waah!

chat-ti jaaye mere haathon se tanaabe umeed

main teri raah bhi dekhun tou meri jaan kab tak

bohat khoob!

subah ke narm ujaale bhi tou utrein :Naheed:

shaam ke rang hi oRhe dil-e-veeraaN kab tak


bohat khoob bohat khoob!

Naheed ji aapki ye tarahee ghazal tou bohat alaa hai khusoosan matla aur sab hi ashaar lajawaab hain.

bohat saari dad aur mubarakbaad qubool keejiye.

sara
Dear Sara ji,
salaam,

shaayad aap ne pehli baar meree kisi kaavish par itna tafSeel se her she'r par daad dee hai, aur iss ke liye meraa dhairoN dhair shukriya qubool kijiye :)

mukhlis
Naheed

Bahut pasand aayi aapki yeh ghazal

Posted: Tue Feb 01, 2005 7:26 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
NAHEED-V Saahibah,


Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pahle paRhchukaa thaa lekin us per apni raaye kaa izhaar karne meiN takheer hougayi jiske liye ma'zirat khwaah ooN. Dar asl mere internet kii line band hougaii thii aur aik doust ke paas se kaam kartaa rahaa. Is liye bahut saara kaam waqt per pooraa nah housakaa.

Aapki ghazal ke saare ashAar achche heiN. Meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,

Nazir,


Re: Bahut pasand aayi aapki yeh ghazal

Posted: Wed Feb 02, 2005 2:12 am
by naheedv
Abdullah Nazir wrote:
MuHtaramah
NAHEED-V Saahibah,


Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pahle paRhchukaa thaa lekin us per apni raaye kaa izhaar karne meiN takheer hougayi jiske liye ma'zirat khwaah ooN. Dar asl mere internet kii line band hougaii thii aur aik doust ke paas se kaam kartaa rahaa. Is liye bahut saara kaam waqt per pooraa nah housakaa.

Aapki ghazal ke saare ashAar achche heiN. Meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,

Nazir,

mohtaram janaab Nazir saahab,
taslimaat!

aap kee raa'e paRh kar jahaaN khushee hu'ee waheeN hosla afzaa'ee bhee huee.
aap jaisey likhne waloN ke darmeyaaN reh kar agar hum aisee bhee tuk.baNdi kar leN tau baRi baat hai hamaare liye.

aap kee raa'e kaa ehteraam karte huve maiN aap kaa shukriya adaa karti hooN jo aap ne isey ta'reef ke qaabil samajhaa!

mukhlis
Naheed