Page 2 of 10
Posted: Sat Aug 05, 2006 7:10 pm
by zmufti
sirf chehray hi agar karb ke aayyiine haiN
kiyoN na maiN dil ka laho aankh maiN bhar kar aayaa
dil
Posted: Sun Aug 06, 2006 4:16 am
by Abdullah Nazir
ajjab ham ne dil de hee diyaa hei un se kyaa faryaad kareN
chaahe hameN seene se lagaayeN chaahe sitam ieejaad kareN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Aug 08, 2006 11:39 pm
by Maha
دل نامراد تیرا ہے کہاں بتا ٹھکانہ ؟
کبھی اس گلی ثے آنا کبھی اس گلی میں جانا
Posted: Wed Aug 09, 2006 3:29 am
by ummassad
khoub rooye chup ke gher ki chardiwari main hum
haal.e. DIL kehney ke qaabil koi humsaya na tha
Posted: Wed Aug 09, 2006 1:56 pm
by Daanish
na di falak ne humeiN taaqat is qadar warna
kisi taraH tau tire dil ko mehrbaaN karte---Mus'Hafi
Posted: Thu Aug 10, 2006 11:32 am
by hassan_bashir
Sara jii! she'r dekhiYe?!
*dil* se apnaa rabt puraana *Gham* se geharii yaarii hai
jitane bhii haiN jaan ke dushman sab se rishtedaari hai
Posted: Sat Aug 12, 2006 3:00 am
by Daanish
jala hai jism jahaN dil bhi jal gaya hoga
kuredte ho jo ab raakh, justaju kya hai--Ghalib
Posted: Sat Aug 12, 2006 3:01 am
by Daanish
zaKhm ne daad na di tangi-e-dil ki ya rab
teer bhi seena-e-bismil se par_afshaaN nikla--Ghalib
dil
Posted: Sat Aug 12, 2006 7:01 am
by Abdullah Nazir
naamah likhtaa hooN tou likhdetaa hooN dil kee baateN
jaane le jaayegi mujhko miri taHreer kahaaN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sat Aug 12, 2006 4:14 pm
by Daanish
meri qismat meiN Gham gar itna thha
dil bhi ya rab kai diye hote--Ghalib
Posted: Sat Aug 12, 2006 4:51 pm
by ummassad
dil ka ujadna sahil sahee; basna sahil nahin zalim
basti basna khail nahin hey; basty basty basti hey
Posted: Sat Aug 12, 2006 5:47 pm
by Daanish
dil ko niyaaz-e-Hasrat-e-deedaar kar chukay
dekha tau hum meiN taaqat-e-deedaar bhi nahiN--Ghalib
Posted: Sun Aug 13, 2006 2:25 pm
by ummassad
dil se jo baat nikalti hey asar rakhti hey
per nahi taaqat.e. perwaz mager rakhti hey
Posted: Mon Aug 14, 2006 1:55 am
by Daanish
bedaad-e-ishq se nahiN Darta magar Asad
jis dil pe naaz thha mujhe woh dil nahiN raha--Ghalib
dil
Posted: Mon Aug 14, 2006 1:49 pm
by Abdullah Nazir
"kiski Hasrat thee keh nikli nah tiri meHfil meiN
rehgayi aek faqaT mere hee dil kee dil meiN"
Shaayer: naamaAloom
Nazir.