Page 2 of 5

Posted: Mon Jul 24, 2006 7:51 am
by Maha
ishq meiN jab Haal-e-dil kahnaa paRaa wo hans diye

Phir kahaa aisaa tou houtaa hei hameshah pyaar meiN.

Ain

Posted: Mon Jul 24, 2006 8:07 am
by Abdullah Nazir



Azeez hei mujhe ai maahwash tiraa chehrah

daroon-e-pardah hou yaa saamne hou be-pardah.


Shaayer: Abdullah Nazir


Nazir.


Posted: Fri Jul 28, 2006 11:18 pm
by ummassad
ishaq ne galib nikamma kerdiya
warna hum bhi aadmi they kaam ke

Posted: Sat Aug 05, 2006 4:42 am
by ummassad
umr bher kumbakt ko phir neend aasakti nahin
jiski aankhoun per teeri zulfain pareshan hogaain

Ain

Posted: Mon Aug 07, 2006 5:56 am
by Abdullah Nazir



"Adam ko baazgasht-e-rooH hei ik ros-e-hasti se

iraadah bandh rahaa hei mMiSr se Yousuf ko kanAaaN kaa"



Shaayer: Haider Ali :aatish:


Nazir.


Posted: Tue Aug 08, 2006 11:34 pm
by Maha
عمر بھر رویا کئے ناکامیاں دیکھا کئے
کیسی کیسی عشق میں رسوائیاں دیکھا کئے

Posted: Wed Aug 09, 2006 3:40 am
by ummassad
uzr.e. wafa ke saath jalatey rahey charag

khulta hey ab kh deeda.e.num bhi bahana saaz.

Posted: Wed Aug 09, 2006 1:37 pm
by Daanish
harf-'ain' se

ishrat-e-qatlgah-e-ahl-e-tamanna mat poochh
eid-e-nazzaara hai shamsheer ka uriyaaN hona--Ghalib


Posted: Thu Aug 10, 2006 3:09 am
by Daanish
arz-e-wafaa pe dekhna uski adaa-e-dilfareb
dil meiN kuchh ai'tebaar sa aankh meiN kuchh malaal sa---DaaGh

ain

Posted: Fri Aug 11, 2006 9:11 pm
by ummassad
ain se

Posted: Sat Aug 12, 2006 2:45 am
by Daanish
umr tau saari kaTi ishq-e-butaaN meiN Momin
aaKhri waqt meiN kya Khaak musalmaaN honge?

"Ain"

Posted: Sat Aug 12, 2006 7:24 am
by Abdullah Nazir



Eid kee SubH nayi aas ke sooraj ne kahaa
rang laane ko hei naacheez tire dil kee duAa
asmaanaoN se utarne ko hei inAam-e-wafaa
talkhiy-e-Hasrat-e-naakaam kaa ab kar nah gilaa

gulshan-e-umr-e-fasurdah meiN bahaar aayegi
ishrat-e-Ahd-e-guzishtah kaa samaaN laayegi
zindagi ranj o muSeebat se amaaN paayegi
nashsha-e-shauq meiN her saans ghazal gaayegi

sunke shaayer ne kahaa milgayi manzil mujhko
koii mushkil hou mire jaaN nahiN mushkil mujhko
dengi aavaaz gulistaaN se Anaadil mujhko
sair karwaayegaa jannat kee miraa dil mujhko.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Aug 12, 2006 2:49 pm
by zmufti
Umr bhar mazmoon talaaii rang ke bandhte rahe
sar nawashit apni bhee nuskha thaa koi akseer ka

Posted: Sat Aug 12, 2006 4:00 pm
by Daanish
a'ashiq che kunad gar na Khur^d teer-e-malaamat
ba haich dilaawar sipar-e-teer-e-qazaa neest--Haafiz Shiraazi

(a'ashiq kya kare, agar teer-e-malaamat na khhaye?
kisi bahadur ke paas qazaa ke teer ki Dhhaal nahiN hai)


ishq

Posted: Sat Aug 12, 2006 5:16 pm
by ummassad
ishq