Page 2 of 18

Posted: Wed Sep 06, 2006 5:25 pm
by ummassad
yaqeen mahkum amal payhum mahobut fathe.e. aalam
jahad.e.zindagi main hain yeh mardoun ki shamsheerain

( noon )

noon

Posted: Thu Sep 07, 2006 12:46 am
by Abdullah Nazir



Nazir ghazal hei thisna-e-auSaaf-e-barg-e-gul

teHseen-e-sheAr o luTf-e-hunar kis ko yaad hei.


Shaayer: Abdullah Nazir.

( ye )


Nazir.


Posted: Thu Sep 07, 2006 2:44 am
by Daanish
'ye' se

yahi jaana, ke kuchh na jaana, haaye
so bhi ik umr meiN hua ma'aloom
--Meer

agla Harf 'meem'


Posted: Thu Sep 07, 2006 2:46 am
by ummassad
yeh hum jo hijer main deewar o deer ko dekhtey hain
kabhi sabha ko kabhi namaber ko dekhtey hain

( noon )

Posted: Thu Sep 07, 2006 2:54 am
by Daanish
lijiye 'nuun' se

naazuk diloN ko shart hai Aatish Khayaal-e-yaar
sheesha Khudaa jo de, tau pari ko utaariye


'ye'

Posted: Thu Sep 07, 2006 12:22 pm
by zmufti
yahiiN pe laala-o-gul ka hajoom dekhoo ge
khaloos-e-dil se bahaaroN ki aarzoo to karo

Posted: Fri Sep 08, 2006 3:32 am
by Daanish
veHshat-e-dil ne kiya hai woh biyabaaN paidaa
saiNkDoN kaus nahiN soorat-e-insaaN paidaa
--Aatish

'alif'

Posted: Fri Sep 08, 2006 5:40 am
by Mayank
aa.Nkho.n me.n jii meraa hai idhar yaar dekhanaa
aashiq kaa apane aaKharii diidaar dekhanaa
-Meer

'alif'

Posted: Fri Sep 08, 2006 4:06 pm
by Daanish
lijiye 'alif' se

ab kahaaN hum, kidhar woh kunj-e-qafas
koi din waaN bhi aab-o-daana thha
--Mus'Hafi

'alif'

Posted: Fri Sep 08, 2006 6:05 pm
by zmufti
us ne sukuut-e-shab me.n bhii apanaa payaam rakh diyaa
hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa

Posted: Sat Sep 09, 2006 1:44 am
by ummassad
ay mery humnasheen chal kahin aor chal is chaman main ab apna guzara nahin
baat hoti guloon tk tu sehleyty hum ;aab tu kaantoun ph bhi huq hamara nahin.

(noon)

Posted: Sat Sep 09, 2006 1:55 am
by Daanish
lijiye 'nuun' se

nikal ai jaan! tan se, taa visaal-e-yaar Haasil ho
chaman ki sair hai anjaam bulbul ko rihaai ka
--Aatish

'alif'


noon

Posted: Sat Sep 09, 2006 3:47 am
by Abdullah Nazir



nasha-e-mai kaa taqaabul lab-e-sheereeN se kahaaN

jaantaa hei vohi jo baat nahiN karsaktaa.


( alif )


Nazir.


Posted: Sat Sep 09, 2006 5:19 am
by Daanish
'alif' se

aasmaaN paaoN paRaa hai ke qayaamat zaalim
yuN tau chaltaa hu'a har fitna-e-raftaar na thha
--DaaGh

'alif'

Posted: Sat Sep 09, 2006 5:21 pm
by PK Swami
izhaar.e haal par hameN qudrat naheeN raHee
un ko ye vaham hai k muhabbat naheeN raHee !



PK Swami