Page 2 of 2

Posted: Mon Dec 25, 2006 10:53 am
by balvinder
iss daur mein jab ek tabassum bhee jurm hai
himmat to dekhiye, meraa hansne ko jee kare

zafar iqbaal

tabassum

Posted: Wed Jan 24, 2007 12:59 am
by Abdullah Nazir



ik tabassum ne tire looT liyaa dil meraa

aur phir teri hansee ne mujhe deewaanah kiyaa.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Jan 24, 2007 6:07 pm
by hassan_bashir
phir aaj eik tabassum pe hosh Kho beThaa
phir aaj ishq ka dhoka faraib khaa hi gayaa

Re: Lafz par ash'aar #32---muskurahaT/tabassum

Posted: Thu Jul 24, 2008 7:33 pm
by hassan_bashir
merii rooh kii haqiiqat mere aaNsuuoN se puChho,
mera majlisii tabassum mera tarjimah nahiiN hai!
[-X

Re: Lafz par ash'aar #32---muskurahaT/tabassum

Posted: Fri May 14, 2010 6:05 pm
by sbashwar

مسکراہٹ بھی کسی پہلو اسے بھاتی نہیں * میرے رونے پر بھی ظالم جانے کیوں بل کھائے ہے
عبداللہ ناظر

Re: Lafz par ash'aar #32---muskurahaT/tabassum

Posted: Tue Jul 20, 2010 4:32 am
by Tanwir Phool
Na jaanay ye masarrat hai ke gham hai !
LaboN par hai tabassum,aaNkh nam hai!
(Tanwir Phool)

Re: Lafz par ash'aar #32---muskurahaT/tabassum

Posted: Tue Jul 20, 2010 7:20 am
by azeezbelgaumi
مسکراہٹ