Page 2 of 8
Posted: Thu Nov 23, 2006 11:59 am
by hassan_bashir
praise wrote:nashaa aa jaaye mujhe terii javaanii kii qasam
tuu agar jaam me.n bhar ke mujhe paanii de de
bohat khooob, Praise saaHiba!
saaqi khumaar-e-ishq k baai'c hooN be-qaraar
varnaa nashaa to thaa naheeN tiree sharaab meiN :P
Posted: Fri Nov 24, 2006 11:11 am
by hassan_bashir
aab-e-Zam-Zam to piyaa khoob bujhaaYee pyaaseN,
aao jood-e-Shah-e-Kausar kaa bhee dariya dekho!
~ Aala Hazrat ~
mai
Posted: Sat Nov 25, 2006 7:58 am
by Abdullah Nazir
mai pee ke chashm-e-naaz se madhoush hougaye
jaayenge kaise ham tiri meHfil ko chouRkar.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"ma'e"
Posted: Mon Nov 27, 2006 9:14 am
by Abdullah Nazir
chashm-e-makhmoor ne wo luTf-e-ma'a-e-shauq diya
mujhko aasaayish-e-jannat kaa khayaal aane lagaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Nov 28, 2006 5:50 am
by hassan_bashir
"jaam tharraane lage, uuR gayii botal se sharaaab
be-vuzuu aa gayaa shaayad ko`ii maikhaane meiN"
sharaab
Posted: Tue Nov 28, 2006 6:17 am
by Abdullah Nazir
tere AaariZ kee kashish aur tiri aankhoN kee shraraab
houN moyassar tou maiN jaaoongaa nah maikhaane ko.
Shaayer: Abdullah Nazir.l
Nazir.
Posted: Tue Nov 28, 2006 6:19 am
by hassan_bashir
sara_j wrote:
thii agar mai se suraahii terii Khaalii saaqii
to chiraagh-e-dar-e-maiKhaanaa jalaayaa kyuu.N thaa
kisee tarah to jame bazm, maikade vaaaaaaloN
naheeN jo baada-o-saagar to haa-o-hoo hi sahi
sharaab
Posted: Tue Nov 28, 2006 6:39 am
by Abdullah Nazir
nah unkaa saath nah jaam-e-sharaab, kuch bhee nahiN
yeh kyaa zazaa hei ke taAbeer-e-hwaab kuch bhee nahiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Nov 28, 2006 6:43 am
by hassan_bashir
zaahid! sharaab piine se kaafir hua huuN maiN?!
kya DeRh chulluu paani meiN iimaan beh gaya?!
Mai
Posted: Tue Nov 28, 2006 4:36 pm
by Abdullah Nazir
Hasrat-e-mai hei nah ab khwaahis-e-raaHat hei mujhei
dasht-e-ghurbat meiN gala ghuT gayaa armaanaoN kaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Nov 29, 2006 6:44 am
by hassan_bashir
aaNkh ko jaam samajh baiThaa thaa aNjaane meiN
saaqiyaa hosh kahaaN thaa tire divaane meiN?!
sharaab
Posted: Fri Dec 01, 2006 11:59 am
by Abdullah Nazir
aankheN hueeN jo band tou aaye wo khwaab meiN
kitni kashish hei mehr o wafaa ki sharaab meiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Dec 04, 2006 7:53 am
by hassan_bashir
"dafn karnaa miri mayyat ko bhi mai-kahaane meN
taa k mai-khaane ki miTTi rahe, mai-khaane meN"
Posted: Thu Dec 07, 2006 6:26 am
by hassan_bashir
sara_j wrote:dekh kar aap kii javaanii ko aarzuu-e-sharaab hotii hai
roz taubaa ko toRtaa huuN maiN, roz niyyat Kharaab hotii hai
taubah kii, phir taubah kii, phir taubah kar ke toR dii
terii is 'taubah' se 'taubah','taubah-taubah' kar uThii!
"sharaab"
Posted: Sun Dec 10, 2006 3:09 am
by Abdullah Nazir
b]
"zaahid sharaab peene de masjid meiN baiThkar
yaa wo jagah bataa keh jahaaN per khudaa nah hou".
Shaayer: naa maAloom
Nazir.
[/b]