Page 2 of 3
zamaanah
Posted: Thu Jan 18, 2007 5:53 pm
by Abdullah Nazir
roune waale ko rulaataa hei zamaanah akcar
koii aansoo nah kabhi deeda-e-tar meiN rakhnaa..
Shaayer: Abdujllah Nazir.
Nazir.
dunyaa
Posted: Mon Jan 22, 2007 4:22 am
by Abdullah Nazir
aur kis daulat-e-dunyaa kee hameN khwaahish hou
koocha-e-yaar meiN baiThe heiN faqeeraoN kee TaraH.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Jan 22, 2007 10:18 am
by balvinder
duniya hai khwab haasil-e-duniya khayaal hai
insaan khwaab dekh rahaa hai khayaal mein
dunyaa
Posted: Tue Jan 23, 2007 4:46 am
by Abdullah Nazir
mare houe tiri dunyaa meiN ik zamaanah houaa
hamaari saans magar aati jaatee rehtee hei.
Shaayer: Abdujllah Nazir.
Nazir.
dunyhaa
Posted: Tue Jan 23, 2007 11:20 pm
by Abdullah Nazir
aap saamaan\N nah kareN apni hee shuhrat ke liye
itne ghaafil bhee nahiN ahl-e-sukhan dunyaa meiN.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Jan 24, 2007 5:30 pm
by hassan_bashir
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa saa fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaanaa hai
Posted: Wed Jan 24, 2007 5:34 pm
by hassan_bashir
chhupaaye dil meiN GhamoN kaa jahaan baiThe haiN
tumhaarii bazm meiN ham be-zubaan baiThe haiN
Posted: Wed Jan 24, 2007 5:36 pm
by hassan_bashir
saarii duniya ke haiN vo mere sivaa
maiN ne duniyaa chhoR dii jin ke liyea
Posted: Fri Feb 09, 2007 9:54 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
manzil naheeN yeh rakht-e-safar baandh~ rakh~ abh~ee
"duniya bh~ee ek maqam tiree reh guzar meN hai"
shae,ier Muz^affar AHmad Muz^affar
Posted: Wed Feb 14, 2007 5:01 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
bazeechah-e-at^faal hai duniya mire aage
hota shab-o-raoz tamashah mere aage.
Ghalib
Posted: Wed Apr 04, 2007 4:42 pm
by hassan_bashir
meri dunyaa muntazir hai aap ki
apni dunyaa choRh ker aa jaaiye [/b]
Posted: Sat Apr 14, 2007 12:36 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
taqseem ho geya hooN maiN khaeraat kee t^arH
:dunya: kisee faqeer kee chadar lage mujh~e!
(Muz^affar Waracee)
Posted: Sat Apr 21, 2007 1:32 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
"kuch~ maiN hee janta hooN jo mujh~ par guzar gaee
:dunya: to lut^f le gee mire waqe'aat meN"
MuStafa Zaedi marHom.
Posted: Sat Apr 28, 2007 11:16 pm
by ummassad
duniya ne teri yaad se begana kerdiya
tujh se bhi dilfaraib hain gum roozgar ke.
Posted: Wed Jul 11, 2007 9:12 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
yeh dunyaa Gham to detee hai shareek-e-Gham naheeN hotee
kisee ke door rehne se muHabbat kam naheeN hotee!