Page 2 of 2

Posted: Thu May 03, 2007 10:40 am
by Rehana.A
Khawer saheb ! is sher ko kuch yoon likh lijiay massla hi hal ho ja,ay ga

yehi to baat sachi hey so kahni hey tumhaien Khawer
her ikk may ko pienay say Muslumaani nahien jaatee

(agar wazan ki ghaltee ho to darust kar lijiay ga)

kisi bhi mashroob ko piena kahien bhi man,aa nahien haan Khumar
yaani aisi mashroob jis kay pienay say Hawaas khuo bieThaien woh man,aa hey ,
aur phir sharaab-e- moarfat bhi to pienay ki koshish kartay rahna chaahiay,kiuon sahi hey na?

Khawer sahib baat ko thooRa sa Saaf kar dijiay

Posted: Thu May 03, 2007 11:01 am
by muhammad_19k
SALAM REHANA JI,

meiN aap ka dil ki ahtaa gehraoN se shukrguzaar hooN ke aap is qadr ikhlaS se mujhe apni raa-aye se nawaaz rahi haiN. Ye mujh par aap ka qarz huwaa.

laikin such baat ye hai ke meiN yehi kehnaa chahtaa hooN ke "sharab peenay se koi dairaa Islam se khaarij naheeN hotaa" dar asal meiN meiN muaamlaat ko un ke asal raNg meiN daikhne ki targheeb dainaa chahtaa hooN?

ub daikhiaye naa. aap ne bhi likhia hai
Khumar
yaani aisi mashroob jis kay pienay say Hawaas khuo bieThaien woh man,aa hey ,
laikin agar meiN aap se bhi poochooN ke kia aisaa mashroob peenay se insaan dairaa Islam se khaarij ho jaataa hai? to yaqeenun aap ka jawab ho ga naheeN. to yehi to meiN bhi keh rahaa hooN?

ahm kyooN cheezoan ke un saHeeH tanazur meiN daikhne se hichkachatay haiN?

Jawaid SaHeb theek farmateiN haiN

sharab ko Halaal samajhne walaa dairaa Islam se khaarij hai. laikin is ka haram jaantey huway bhi peenay walaa gunaahgaar to hogaa laikin Islam se khaarji naheeN ho ga

ye aap aise samajh sakti haiN ke namaaz na paRne walaa gunahgaar hotaa hai. laikin agar koi namaaz ki farziat se hi inkaar karay to woh Islam se kharij ho jaataa hai.

meiN ne ye mazmoon un logaoN ke leeaye baandha hai jo sochay samjhay bahgiar chhoti chhoti batoaN par baray baray fatway lagaa daiteN haiN.

agar meiN apni baat ki wazaHat na kar paayaa hooN to maazirat chahtaa hooN.

aap beHad mamnoon,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI