Posted: Mon May 07, 2007 2:28 am
Khaawar SaaHib !
assalaamoa'laikum
aap ki Ghazal ,us peh honay waalay tabSiroN , aur aap ki sifaarishaat ko paish-e-naZar raKhtay huve yehee kahooN gaa keh in dinoN t'aweel tabSiray karnaa khat'ray se khaalee naheeN hay kyooNkeh akcar jhooTee daad peh mabnee qaleel tabSiray ziyaaday pyaaray hotay heN - HaalaNkeh aik aChChaa shaai'r jald yaa ba.dair khoob jaantaa hay yaa jaan jaataa hay keh us kaa fulaaN she'r kis qadar daad kaa mustaHiq hay yaa thaa- is Hawaalay se "picasso"(muSawwir) ki aik taHreer agar waqt milaa to paish karooN gaa,, paRhiye gaa -chunaancheh shaai'r ko az.khud aise loGoN ki HauSilahshikanee karnee chaahiye keh jo HauSilah.afzaaee ke naam peh daroGh.goee se kaam laitay heN- laiken yeh bahut mushkil kaam hay keh aakhir murawwat bhi koi cheez hay ,,magar yeh maqaam-e-bai.murawwatee hay -bat'aur-e-jumlah-e-mu'tariZah suniye :
aChChee naheeN ai shaah ab itnee bhi murawwat !
shahroN meN kiyaa kartay ho daihaatee maHabbat !!
daiKhiye! aaj hameN apnay bachpan ke usaatizah ki zaahiree bai.murawwatiyoN par kitnaa pyaar aataa hay- muKhtaSan yeh keh baqaul Mohsin Bhopali :
"Khoob hay khoob.tar hay khoob.tareen
tajziye yooN naheeN huvaa kartay"
kahnay ko mere paas in fuZool baatoN ke i'laawah kuCh naheeN -haaN !aik baat hay , woh waqt door naheeN jab aap aise ash'aar kah jaa.eN gay keh meN to kyaa maHfil a'sh a'sh kaR uThay gee filHaal aap baHr-o-qaafiyah ki paabandiyoN meN uljhay naZar aatay heN -
yasir