Page 2 of 2
Posted: Tue Sep 11, 2007 6:04 pm
by Sohail Malik
Munir bhai assalam o alaekum
aap ki donoN ghazlaiN bhi dekhiN aur un per dostoN kay dilchasp tabSiray bhi peRhay
yaqeenen aap ki donoN ghazloN maiN ferq aap kay fanni aur zehni irtiqa ka mazher hay
dostoN ki raey ko apnanay kay baad ghazal ka husn aur nikher aya hay
meri janib say bohat daad qabul kijiay
faqet
sohail malik
Posted: Tue Sep 11, 2007 6:19 pm
by munir-armaan-nasimi
Sohail Malik wrote:Munir bhai assalam o alaekum
aap ki donoN ghazlaiN bhi dekhiN aur un per dostoN kay dilchasp tabSiray bhi peRhay
yaqeenen aap ki donoN ghazloN maiN ferq aap kay fanni aur zehni irtiqa ka mazher hay
dostoN ki raey ko apnanay kay baad ghazal ka husn aur nikher aya hay
meri janib say bohat daad qabul kijiay
faqet
sohail malik
Walekum Assalam Sohail Bhai,
Armaan-nawazi ka tah-e-dil se shukr guzaar hoon. Kya aap ko donon ghazlon main kuch farq nazar aaya hai??? Pahle se kuch taraqqi kiya hoon ya...... jahan thaa abhi tak wahiin hi hoon??? Mujhe to dono ek jaisi hi lagti hain (shaayad ek hi zameen pe kahi gayi hain to aisa lagta hoga ya phir dono hi meri ghazal hain isliye aisa lagta ho)
Aap agar kuch "point out" kar dete to mujhe achcha lagta. Pata hai, aap jaise sukhan-fahem hazrat jab hausla badhaate hain to..... Ghazal kehne ke liye "Tonic" mil jaata hai..... Jee chaahta hai roz roz do chaar ghazal kah doon magar......
Aadmi jo sochta hai wohh hota kahaan hai?
Taalib-e-dua,
Armaan