Page 2 of 2

Re: wah wah

Posted: Fri Mar 25, 2005 3:36 pm
by jawaid badauni
irfan barabankwi wrote:mohtaram

JAWAID BADAYUNI


salam-e-masnoon


pahli bar aapki ghazal per apna tabsirah lekar hazir hua hooN. wah kiya hi umdah ghazal hai aapki. sabhi ashaar khoob haiN. is haqeer ki dili daad qubool farmayeN. badayuN to hamare u.p. maiN hai lekin app ne apna koi pata yahan nahi darj kiya hai. filhal aap kahaN moqeem haiN ?

khair andaish

irfan barabankwi


irfan barabankwi

Azeezi Irfan sahab, tasleem

Ghazal ki iss qadar pazeeraii ke liye aapka behad mashkoor hooN.

Mera tAAlluq Badaun se hai magar guzishta 20 saal se Muscat (Oman) men muqeem hooN. MaiN aap ka kalam paRhta rahta hooN aur aap ne bhi mera kalam muKhtalif sites per dekha hoga.

www.aligarians.com naam ki ek site per maiN Urdu poetry section ko moderate kar raha hooN. Aap se iltimas hai wahaN tashreef laiye aur apna kalam bhi saath laiyega. Hamare yahan bahut se non-aligs bhi haiN. Ummid hai registration kara leNge phir wahaN bhi aapse mulaqat rahegee. Yahan bhi maiN akcer haaziri lagata rahta hooN.

Khair andesh.
Jawaid