Page 2 of 2

Posted: Wed May 30, 2007 6:03 am
by sheeraz_sharif
Salam o alikum

:grin: main yahan naya hon umed hay aap log mujha khosh amdeed kahenge

Posted: Wed May 30, 2007 6:05 am
by muhammad_19k
Janab Amjad Mirz Amjad

ko khushaamdeed.

umeed hai ke aap ko hamari bazm pasand aa-aye gi.

Khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui

Posted: Wed May 30, 2007 6:08 am
by muhammad_19k
sheeraz_sharif wrote:Salam o alikum

:grin: main yahan naya hon umed hay aap log mujha khosh amdeed kahenge
Walaikum us Salam,

kyooN nahi janab. kyooN naheeN. aap ki aamad sar aankhoaN par. aor kyaa hi achhaa ho ke agar aap forun apne naam ka aik nayaa thread shroo kar ke apnaa kuch t'aaurf farmaa deN taa kee aap se kuch jaan pehchaan baRh sake.

agar koi maslaa ho to bila jhijhak pooch leejiaye ga.

khairandesh.

Posted: Wed May 30, 2007 6:14 am
by sheeraz_sharif
Bilkul mujha ziada nahin pata iss bare main plz aap meri kuch madad ker dain to ........

mujha kia krna hay aap batao or kaysay

Posted: Wed May 30, 2007 11:09 am
by muhammad_19k
Fayyaz

Khushaamdeed Janab.

Khairandesh.
Muhammad K. Siddiqui

Posted: Wed May 30, 2007 7:15 pm
by muhammad_19k
Irfaan Shakeel SaHeb

Khushaamdeed. kahiaye apna t'aaruf kab karwaa rahaiN haiN?

Khairandesh.
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Sat Jun 02, 2007 1:10 pm
by muhammad_19k
Janab Funkyzzube SaHeb
Janab globsboy 33 SaHeb

khushaamdeed.

mujhe ye daikh kar bohat khushi hoee ke aap watan se door URDU ki mohabbat leeaye baithay haiN.

khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Sun May 18, 2008 1:07 pm
by khamis bin saleh
Asalaam alaikom
Janab Abdullah Nazir Sahib aur moHtaramah Sara sahiba,

pahely tow mai app ka teh dil se shukrguzaar hu ke aapne mujko is urdubhandan mai ek hessa banaya. Mai allah se dua karta hu ke aap ke is site ko duniya ke her urdu ko chahane walow tak pahunchae our app ke is site appke maqsad ko pura ka ameen

Re: Khushaamadeed

Posted: Wed Jun 22, 2011 7:53 pm
by Shaaki
:bismillah:
:salaam2:
k se hain aap log? Bakhairiat o aafiat hongey :insha:

main Asif Shaaki hon Karachi se.
aap ki shandar mehfil main ahqar ik qaleel hisa chahata hai.
bari nawazish ho gi jo aap mujhey apney dil main jaga dain.
apni shaairi ki pehli ibtida is forum main ALLAH k NAAM SE

LAB KHULAIN MERE TO FAQT HAMD O SANA K LIYE
BE SHAK TAMAM TREEFAIN HAIN FAQT ALLAH K LIYE.

DANG JIS KI QUDRAT PER AQAL INSAANI HAI.
ZARA ZARA B YE KAHEY K WO HASTI JAWDANI HAI

:jazax: BARI NAWAZISH

Re: Khushaamadeed

Posted: Thu Jun 23, 2011 8:36 am
by nafeesa
:walikum:
Khush-amdeed.
Ye aapki apna forum hai.
Aapke hamdiya asha'ar bhi bohat khoob hain. Ameen.

Re: Khushaamadeed

Posted: Thu Jun 23, 2011 1:49 pm
by sbashwar
محترم عاصف شاکی صاحب
وعلیکم السلام و رحمتہ اللہ و برکاتہ

اردو بندھن پر آپکی آمد ہمارے لیے باعثِ مسّرت ہے۔ امید ہے آپ اپنے کلام سے نوازینگے۔

مخلص
سالم باشوار

Re: Khushaamadeed

Posted: Sat Jun 25, 2011 9:43 am
by Shaaki
:jazak:
Nazir Saalim bashwar , Nafeesa sahiba or tamam qari ka. k aap ne kujhey is forum k liye qubool farmaya.

sach maaniye bari massarat hoi jo aap ne mujhey khush aamdeed kaha or hosla afzaai ki. :insha:
aap se b mustafeed hota rahon ga. aap k liye mera kaam pesh e khidmat hai............

Main kisi ko tasawur se juda nahi karta.
Main bhool jaaon kisi ko dua nahi karta.

Main har kisi se mukhlis rehta hon,
Magar koi mujh se wafa nahi karta.

Wo jo thhais pohanchatey hain dil ko mere,
Samjhtey hain ke,Main seeney main Dil rakha nahi karta.

Gar ho jata hai mera burey se bura,
Magar main kisi ka kabhi bura nahi karta.

Jis ko zakhm lagtey hain Dil par SHAAKI,
Wo sirf muskarata hai hansa nahi karta.