Page 2 of 4
Posted: Fri Mar 25, 2005 3:17 am
by Hashmat Usmani
baarish huii to phuuloN ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bhiig ke saffaak ho gaye
Parveen Shaakir
Posted: Fri Mar 25, 2005 3:46 am
by Hashmat Usmani
dard kii baarish sahii maddham zaraa aahistaa chal
dil kii miTTii hai abhii tak nam zaraa aahistaa chal
Posted: Fri Mar 25, 2005 8:38 am
by syed bilal armaan
Sochta hoon phool ki pati se bhi nazuk ye dil
patharo'un ki barish'oun may kaise zinda raha...
Posted: Fri Mar 25, 2005 8:24 pm
by rahmed25682
Kaghaz kay phool sar per sajaa kar chaly hayaat
Nikly baroon-e-shehr to baarish nay aa liya
Khush rahain
Khair andesh
Raheel Ahmed
"baarish"
Posted: Sat Mar 26, 2005 5:12 am
by Abdullah Nazir
baarish meiN uskaa bheegnaa dekhaa nahiN gayaa
ham saath khainch laaye use saa'ibaan meiN
Nazir.
Posted: Sat Mar 26, 2005 2:52 pm
by Hashmat Usmani
har pattii bojhal ho ke girii, sab shaaKheN jhuk kar TuuT gaiiN
us baarish hii se fasal ujaRii jis baarish se taiyaar huii
Mai'Hshar BadaayuuNii
"baarish"
Posted: Sun Mar 27, 2005 8:12 am
by Abdullah Nazir
phool baarish meiN tabassum ke khilaate rehnaa
haath lehraake mujhe paas bulaate rehnaa
Nazir.
Posted: Sun Mar 27, 2005 12:51 pm
by fatimah
aslaam_u_alikam
wo terey naseeb kii baarishein kisii aur chat per baras gaaien
dil e bekhabar merii baat sun ussey bhool jaa ussey bhool jaa
Posted: Sun Mar 27, 2005 3:08 pm
by syed bilal armaan
in barish'oun se dosti achhi nahi FARAZ
kachha tera makan hai kuch tou kayaal kar...
"barish"
Posted: Sun Mar 27, 2005 6:40 pm
by Abdullah Nazir
deewaar o dar makaan ke paani meiN beh nah jaayeN
chuptaa hei koii kis liye baarish ke khauf se
Nazir.
Posted: Mon Mar 28, 2005 4:42 am
by Ibn-e-siddique
baarish-e-vasl vo hui saara ghubaar dhul gaya
vo bhi nikhar nikhar gaya ham bhi nikhar nikhar gaye
"baarish"
Posted: Mon Mar 28, 2005 12:49 pm
by Abdullah Nazir
Baarish meiN bheegnaa tujhe achcha lagaa magar
kapRe badalne aa ke sunaaooN maiN apni baat.
Nazir.
Posted: Tue Mar 29, 2005 2:25 am
by Hashmat Usmani
salaam dosto,
bhai ab bahot ho chukii baarish, ab to yeh 'aalam hai ki:
vafoor-e-"baarish [ ]" ne kaashaane kaa kiyaa yeh rang
ki ho gaye mire deevaar_o_dar, dar_o_deevaar!
ab koii to "dhoop" dikhlaaye ki yeh sailaab-e-balaa ko Khushk kare!
Hashmat
"baarish"
Posted: Tue Mar 29, 2005 5:37 pm
by Abdullah Nazir
baarish ke din heiN aur tiraa allhaR shabab hei
aakhir maiN kyaa karuN dil-e-khaanah kharaab ko
Nazir.