Page 2 of 65
Posted: Mon Dec 20, 2004 5:23 am
by Hashmat Usmani
APNAA
apnaa aHvaal-e-dil-e-zaar, kahuuN yaa na kahuuN?
hai Hayaa man'e-e-izhaar, kahuuN yaa na kahuuN?
Ghaalib
lafze-e-"hai" ya "kahuuN" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.
Posted: Mon Dec 20, 2004 5:33 am
by Ibn-e-siddique
hai
hai dil ke liye maut masheenoN ki Hukoomat
ahsaas-e-muravvat ko kuchal dete haiN aalaat
aHsaas ya aalaat :D
Posted: Mon Dec 20, 2004 5:47 am
by Hashmat Usmani
AI'HSAAS
ai'Hsaas 'inaayat kar aasaar-e-musiibat kaa
im-roz kii shorish meN andesha-e-fardaa de!
'allamah Iqbaal
lafze-e-"im-roz" ya "de" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.
Posted: Mon Dec 20, 2004 6:26 am
by Ibn-e-siddique
de
de daad ae falak dil-e-Hasrat parast ko
haaN kuch na kuch talaafi-e-maafaat chaahiye
ghalib
Posted: Mon Dec 20, 2004 7:02 am
by Hashmat Usmani
CHAAHIYE
chaahiye achchhoN ko jitnaa chaahiye
yeh agar chaaheN to phir kia chaahiye!
Ghaalib
lafze-e-"hai" ya "chaahiye" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.
Posted: Mon Dec 20, 2004 7:47 am
by Ibn-e-siddique
yeh na thi hamaari qismat ke visaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yehi intizaar hota
ghalib
Posted: Mon Dec 20, 2004 10:59 am
by Hashmat Usmani
AGAR
agar-cheh thaa yeh iraada, magar Khuda kaa shukr
uThaa sakaa na nazaakat se gul_badan takiiya!
Ghaalib
lafze-e-"uThaa" ya "takiiya" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.
Posted: Mon Dec 20, 2004 12:18 pm
by Ibn-e-siddique
uthaa ker toR Daala aaiina Husn-e-raqaabat se
wo kal is per bigaR baiThe ke ham sa doosra kyuN ho
Posted: Mon Dec 20, 2004 12:23 pm
by Shummu
WO
wo dil ko churaa kar jo lage aaNkh churaane
yaaroN kaa gayaa un pe bharam aur ziyaada
Posted: Mon Dec 20, 2004 1:21 pm
by Hashmat Usmani
Shummu wrote:WO
wo dil ko churaa kar jo lage aaNkh churaane
yaaroN kaa gayaa un pe bharam aur ziyaada
salaam Shummu,
is she'r ko paRh kar dil hil kar rah gayaa. is she'r se kitnii yaadeN joRii huii haiN, hai na?
Khair, is laRii ko aage baRhaate huye yeh she'r pesh-e-Khidmat hai:
yaaroN
yaaro Khataa mu'aaf karo, maiN nashe meN huN
sheeshe meN mai, mai meN nashaa, maiN nashe meN huuN!
Ameer Minaaii
lafze-e-"sheeshe" ya "huuN" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.
Posted: Mon Dec 20, 2004 9:15 pm
by Ibn-e-siddique
hooN garmi-e-nishaat-e-tasavvur se naghma saNj
maiN andaleeb-e-gulshan, na.aafreeda hooN
ghalib
Posted: Tue Dec 21, 2004 12:26 am
by Hashmat Usmani
maiN
maiN huN aur afsurdagii kii aarzoo, "Ghaalib!", ki dil
dekh kar tarz-e-tapaak-e-ai'hl-e-duniyaa jal gayaa!
Ghaalib
lafze-e-"dekh" ya "gayaa" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.
Posted: Tue Dec 21, 2004 4:15 am
by Ibn-e-siddique
dekh to dil se ke jaaN se uThta hai
ye dhuaaN sa kahaaN se uThta hai
Meer
Posted: Tue Dec 21, 2004 5:19 am
by Hashmat Usmani
yeh
yeh masaa'il-e-tasavvuf, yeh tiraa bayaan, "Ghaalib!"
tujhe ham walii samajhte jo na baadah_Khowaar hotaa!
Ghaalib
lafze-e-"tujhe" ya "hotaa" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.
Posted: Tue Dec 21, 2004 5:29 am
by Ibn-e-siddique
hotaa hai nihaaN gard meiNn sehraa mere hote
ghistaa hai jabeeN Khaak pe daryaa mere aage
ghistaa ya aage
ghalib