Page 2 of 43
sher
Posted: Mon Apr 11, 2005 4:45 pm
by Dawood_Rizwan
ham tujhay bhool kay khush baThay haiN
ham sa bay dard koee kia hoo ga
Posted: Mon Apr 11, 2005 9:02 pm
by rahmed25682
YAAD NAHIN KIA KIA DEKHA THA , SAARAY MANZAR BHOOL GAYE
US KEE GALION SAY JUB LAUTAY, APNA BHEE GHAR BHOOL GAYE
KHOOB GAYE PARDES KAY APNAY DEEWAR-o-DAR BHOOL GAYE
SHEESH MAHAL NAY AISA GHERA , MITTI KAY GHAR BHOOL GAYE
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
aik sher
Posted: Tue Apr 12, 2005 4:09 pm
by Dawood_Rizwan
aziz itna hi rakhoo ka ji behl jay
ab is qadar bhi na chahoo ka dam nikal jay
Posted: Tue Apr 12, 2005 10:07 pm
by najma
kya jane, kis ko phool diye haiN bahaar ne
ham mukhlisoN ki jholi to kaaNtoN se bhar gaee
najma
"javaab"
Posted: Wed Apr 13, 2005 6:21 pm
by Abdullah Nazir
Phaanknaa khaak bayaabaaN meiN agar baaqi hei
yaad kiyooN aate heiN ghar ke dar o deewaar hanouz.
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 7:25 pm
by najma
har baguule se lipat jaata tha laila keh kar
bas yehi shaGhl tha majnooN ka bayabaanoN meiN
nafis ahmad siddiqui
javaab
Posted: Wed Apr 13, 2005 10:05 pm
by Abdullah Nazir
Naakhun-e-housh se Hal hou nah sakegii uljhan
mushkileN meri bigaRjaayengi aasaaN houkar.
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 10:10 pm
by najma
rahbar samajh liya hay tujhe, gard-e-karawaaN!
chalte rahengay ham bhi, jahaaN tak Ghubaar hay
najma
Posted: Thu Apr 14, 2005 5:05 am
by Hashmat Usmani
yeh kia jagah hai dosto! ye kaun saa dayaar hai!
Hadd-e-nigaah tak jahaaN Ghubaar hii Ghubaar hai
Shahryaar
Posted: Thu Apr 14, 2005 8:55 am
by najma
le aaee phir kahaaN par qismat hameN kahaaN se
ye to wohii jagah hay , guzre thay ham jahaaN se
Posted: Thu Apr 14, 2005 12:41 pm
by Hashmat Usmani
jaane kab aaye koii dil meN jhaaNkane_vaalaa
is liye maiN ne gariibaaN ko khulaa rakhaa hai
Qateel Shifaaii
Posted: Thu Apr 14, 2005 9:31 pm
by najma
zor kitna hay hawaoN meiN, ye dekhooN maiN bhi
ek nan,haa saa diyaa maiN ne jalaa rak,kha hay
najma
Posted: Thu Apr 14, 2005 10:03 pm
by Hashmat Usmani
pas-e-marg mere mazaar par, jo charaaGh kisii ne jalaa diyaa
use, aah! daaman-e-baad ne sar-e-shaam hii se bujhaa diyaa
Bahaadur Shaah "Zafar"
Posted: Thu Apr 14, 2005 10:46 pm
by najma
ghar meiN na jal sake jo hawadis ke khauf se
raushan wohii diye sar-e-deewaar to huey
Posted: Fri Apr 15, 2005 2:21 am
by Hashmat Usmani
vo diyaa jis se mere qalb-o-nazar raushan the
maiN ne jab haath lagaaya to jale haath mere
Shehzaad AHmad